Agar aap online discount coupon ko share kar ke paise earn karne ke bare me soch rahe hai to aaj hum aapko batayenge ke aap coupon website kaise banaye. Jaisa ke hum jante hai deals aur coupon website aaj paisa kamane ka ek behtareen zarya ban gya hai. Agar aap bhi coupon website banane ka soch rahe hai to is guide ko follow kare. Is guide me humne step by step bataya hai How To Build Coupon Website ?
How To Build Coupon Website ?
Coupon website banane ke liye aapko sabse domain name aur hosting ki zaroorat hogi. Domain name hosting service register karne ke baad aapko wordpress ko install karna hoga, uske baad theme select karna hoga aur phir plugin install karna hoga.
Step 1 : Coupon website banane ka pahla step hai domain registration. Domain register karte waqt is baat ka dhyan rakhe ke apne site ke liye aise domain ko select kare jo aapke site ke purpose ko easily define kar sake. Domain aapki website ka address hota hai. Domain name ke bare me janne ke liye niche diye gaye link ko follow kare.
Domain name register karne ke liye niche diye gaye guide ko follow kare.
Domain register karne ke baad aapko apne site ke liye hosting service bhi buy karni paregi. Hosting kya hota hai iske bare me janne ke liye niche diye link ko follow kare.
Apne files aur folders ko save karne ke liye hame hosting service ki zaroorat hoti hai. Hosting account pe hi hum wordpress ko install karte hai. Hosting service provider hame wo jagah provide karte hai jahan pe hamara site internet pe rahta hai. Aap hosting GoDaddy, Bluehost jaise hosting provider se purchase kar sakte hai. GoDaddy aur Bluehost se hosting buy karne ke liye niche diye gaye guide ko folow kare. Agar aap 2 saal ya is se zyada duration ke liye hosting purchase karte hai to aapko yahan pe domain name free me mil jayega.
- Apne blog ke liye Bluehost se hosting kaise kharide
- Apne Blog ke liye Godaddy se hosting kaise kharide
Step 2 : Ab hame hosting account pe WordPress ko Install karna hoga. Domain aur hosting register karne aur WordPress ko install karne ke liye aap niche diye gaye video ko follow kar sakte hai.
WordPress ko instaal karne ke liye aap niche diye gaye guide ko bhi follow kar sakte hai.
Step 3 : Ab aapko apne websit ke liye Theme ko install karna hoga. Theme install karna is post ka sabse important step hai. Is step me aapko apne site ke liye kisi bhi coupon theme ko install karna hai. Har coupon theme ke alag alag feature ho sakte hai, aapko aise theme ko select karna hai jo aapke website ki zarooraton ko poora kar sake.
Clipper ek best coupon theme hai jise coupon website ke liye recommend kiy agyaa hai. Is theme me kisi bhi advance website ke sabhi feature maujood hai.
Clipper Theme ko install aur setup karne ke liye aap is theme ka official tutorial dekh sakte hai.
Theme ko install karne ke liye aap niche diye gaye guide ko bhi dekh sakte hai.
Step 4 : Is step me aapko apne WordPress coupon website ke liye kuch theme ko install karna hoga. Aap apne site me functionality ko add karne ke liye plugins ko intall kar sakte hai. Aap niche diye gaye video ki help se Plugins ko install kar sakte hai.
Plugin ko intall karne ke guide ke liye niche diye gaye link ko follow kare.
Upar diye gya steps ko follow kar ke aap apna coupon website bana sakte hai.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( How To Build Coupon Website ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Read Also :
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?