IMO WhatsApp ki tarah hi ek Instant Messaging App hai jo user ko text messages send aur receive karne aur voice/ video call karne ke facility provide karta hai. Users ke IMO Account ko verify karne ke liye IMO pe Phone number ki zaroorat hoti hai. Verification ya to text message se hoti hai ya phir voice call se ya phir dono se is liye aapko ek poori tarah se kaam karne wale Sim card ki zaroorat hai.
Also Read: Telegram Messenger Kya hai?
Yahan pe ek sawal ye haike kya IMO account bina apna phone number provide kiye huye use kiya ja sakta hai. To aapko bata den ke haan aisa possible hai. Aap bina apna Phone number provide kiye huye IMO account bana sakte hai, bina phone number ke IMO account banane ke kayi ways hai aap jise chahe choose kar sakte hai. Yahan pe hamara step by step guide diya gya hai ke aap apna IMO account ko bina phone number ke kaise create karen.
Pre- Requasites
– Agar aap ne abtak IMO App ko download nahi kiya hai to Google play se App ko download karen
– App ko reset karen agar aap ne pahle se hi apne phone number ko varify kar rakha hai.
Method 1: TextNow ki madad se IMO Account ko varify Karen
- TextNow App ko Download karen aur use Open karen
- On-screen instruction ki madad se ek free number create karen
- Three horizontal line pe click kar ke naye generate number ko note karen
- Ab IMO App ko open karen aur apne account ko verify karne ke liye phone number dalen
Method 2: Landline number se Account verify karen
- Apne Phone me IMO App open karen
- Apni country choose karen aur us Landline number dalen jise aap dalna chahte hai.
- Next button pe tap karen
- Ab aap aapke landline number App ek text message bhejne ki koshish karega. chuki Landline pe text receive nahi ho sakte is liye aapko phone call ki madad se aapko text message receive hoga
- Call receive karen aur Verification code ko note karen
- Setup ko complete karne ke liye App me jayen aur verification code ko enter karen
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.