Telegram Messanger Fcebook aur WhatsApp messanger ki tarah hi ek Messaging App hai jo Internet pe kaam karta hai. Matlab ke aap Internet se connect ho kar Telegram pe free me messages send kar sakte hai. Telegram ke mutabiq iske 200 millon monthly active users hai. Telegram ek free cloud based instant messaging service App hai. Telagram apne user ko cloud storage provide karta hai jiski madad se user apne data ko Telegram pe save rakhta hai.
Telegram ek Russian Application hai jisko 14 August 2013 me iOS ke liye aur 20 October 2013 me Android user ke liye do Russia ke bhaiyon Nikolai aur Pavel Durov ne banaya tha. Abhi Telegram ka headquarter Berlin me hai. Ye ek independent non profitable company hai.
Ye App apni security ki wajah se bahut popular hai. Telegram ko aap multiple device me ek sath istemal kar sakte hai. Telegram Application ko aap mobile Pc Tablet aur web pe use kar sakte hai. Abtak telegram App ko 100 million se bhi zyada download kiya ja chuka hai. Har Guzarte dino ke sath Telegram ki popularity badhti ja rahi hai. Telegram ke strong security ke karan ye kaha ja rha hai ke telegram whatsapp ko bhi peeche chor dega.
Also Read: Snapchat Kya Hai? Jane Iske Bare me Poori Jankari
Telegram pe Account kause Banaye
Telegram Messanger pe Accopunt banane ke liye aapko sabse pahle Telegram App ko apne device me download karna hoga.
Telegram ko Download karne ke baad aapko Get Started pe click karna hoga aur uske baad apna phone number dalna hoga. Number submit karne ke baad aapko ek OTP milega jise aapko submit karna hoga.
OTP dalne ke baad aapko apna naam dalna hai aur check wale icon pe click karna hai.
Is tarah se aap bahut hi aasani ke sath Telegram pe apna Account create kar sakte hai.
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.