Agar aap kisi website ko run kar rahe hai aur aap apne website se paise earn karna chhate hai to Google AdSense aapke liye ek accha option ho sakta hai. Google AdSense ek ad advertising service hai jo internet pe ad display karne ke liye kafi popular hai. To agar aap bhi AdSense pe account bana kar apne website ko monetize karna chahte hai to aapke liye ye janna bahut zaroori hai ke How Does Google AdSense Work. To dekhte hai ke Google AdSense kaise kaam karta hai?
How Does Google AdSense Work
Jiasa ke hum jante hai ke Google AdSense online paise kamane ka ek behtareen zaraya hai. Koi bhi jo kam se kam 18 years ka hai aur website ka malik hai aur program’s standards ko poora karta hai wo AdSense se paise earn karne ke liye sign up kar sakta hai.
Google AdSense ka working process bahut simple hai. Ye cost-per-click aur revenue sharing basis pe kaam karta hai. Yeh advertiser ko har click pe charge karta hai aur publisher ko har click ka 68% provide karta hai. Isliye aapka main target un Ads pe zyada se zyada click provide karna hona chahye. Lekin Google ko dhoka dene aur number of click ko artificially increase karne ki koshis na kare. Kyu ki Google ke pass click fraud ko prevent karne ke liye bahut hi accurate system hai. Ek baar aapke account pe suspicious activity ko notice kar lene ke baad ya aapki traffic ki quality ke bare me koi doubt hone ke baad google aapke account ko suspend kar sakta hai.
Aapki website se earn ki jane wale amount sirf cost per click pe depend nahi karta hai. Yeh is baat par bhi depend karta hai ke ad aapke audiance ke intrest se kaise match karta hai, ad aapke page pe kaha pe located hai, isliye apne page ke content pe dhyan den.
Aapki earning aapke website ke targeted traffic pe depend karta hai. Aur zyadatar click aapko $1 doller se kam amount dilwayenge. To aap soch sakte hai ke aapko kitne traffic ki zaroorat hogi ek accha amount earn karne ke liye.
Aap traffic volume, competition aur cost per click ki information kop janne keliye Google AdWords Keyword Tool ka use kar sakte hai. Website ko start karne ke sath hi AdSense ke liye apply na kare Apni Website ko AdSense ke liye apply karne se pahle kam se kam 20-30 page ka content tayyar kar lena ek behtar idea hai.