Apni WordPress site ke SEO ko optimize karne ke liye sab se zyada important jo step hai wo hai apni site ko Google Search Console (formerly Google Webmaster Tools) me add karna. Iske liye aapko Google Search Console Verification karna hoga.
Google Search Console website owner ko apne search presence aur rankings ko monitor aur maintain karne ke liye ek specific Webmaster Tools offer karta hai. Google search console verification kar ke hum apni site ke Google presence ko monitor kar sakte hai.
Hamari website jis tarah se search engine me appear hoti hai ye hamare site ke overall success aur traffic me key role play kar raha hai ye aasani ke sath pata laga sakte hai.
Fortunately, Google Search Console ki help se hum ye pata laga sakte hai ke hamari site kis position pe hai. Ye aapke site ko Search Engine Results Pages (SERPs) pe ye aapke site ke appearance ko maintain karne me help karta hai taki aap heed se alag dikh sake.
Is guide me hum aapko batayenge ke aap Google Search Console jise pahle Webmaster Tools ke naam sejana jata tha usme apni site ko kaise add karenge.
Google Search Console Kya Hai ?
Google Search Console Google ka ek free tool hai jo website owner ko apne site ke presence ko Google search results me monitor karne me help karta hai.
Ye aapko apne site ke search ranking, errors, security issues, aur indexing issues ko track karne aur aapko updated rakhne me help karta hai joki aapke site ke search performance ko affect kar sakta hai.
Agar aap apne site ko seriously grow karna chahte hai to aap apni site ko first-day se hi apne site ko Google webmaster tools me add kare.
To chalye dekhte hai ke hum apni site ko Google Search Console verification kar ke isme kaise add kare.
Google Search Console Verification Kaise Kare ?
Step 1. Sab se pahle aapko Google Search Console website pe jana hoga aur ‘Start Now’ button pe click kare.
Step 2. Ab aapko Google / Gmail account ke zarye se sign in karna hoga.
Login hone ke baad aapko website URL ko enter karna hoga.
Step 3. Site verification ke do methods hai: domain name or URL prefix leki aapko hum URL prefix method ke liye recommend karenge kyuki ye flexile method hai.
Is baat ka dhyan rakhe ke Google HTTP aur HTTPS ko do different protocol samajhta hai. Google https://www.example.com aur https://example.com ko different samajhta hai.
Aapko WordPress ke correct url ko enter karna hoga.
Step 4. Agar aap apne WordPress site ke URL ke bare me sure nahi hai to aap simply WordPress admin area me Settings » General page pe ja kar apne URL ko find kar sakte hai.
Apne site ke correct address ko Google webmaster tools setup wizard me enter karne ke baad aap ‘Continue’ button pe click kar ke next step pe move kar sakte hai.
Step 5. Ab aapse apne site ke ownership ko verify karne ke liye kaha jayega. Verify karne ke bahut se methods hai par hum aapko HTML tag method batayenge kyu ki ye easiest method hai.
Step 6. HTML tag pe click kare aur use expand kar ke code ko copy kare.
Step 7. Ab aapko Google site verification meta tag ko WordPress me add karna hoga,taki Google ye verify kar sake ke aap us website ke owner hai.
Google periodically HTML tag ko check karta hai aur agar verification tag find nahi karne pe ye aapke site ke access ko search console me disale kar deta hai.
HTML tag ko add karne ke liye aapko Insert Headers and Footers plugins ko install aur activate karna hoga. Aap plugins install karne ke liye aap hamare WordPress Plugin Install kaise kare guide ko follow kar sakte hai.
Step 8. Plugin ke activate ho jane ke aad Settings » Insert Headers and Footers page pe jaye aur Google HTML tag code ko jise aapne copy kiya tha ‘Scripts in Header’ box me paste kare.
Changes ko store karne ke liye Save button pe click kare.
Step 9. Ab aap Google Search Console settings me jakar verify button pe click kare.
Google Search Console ab HTML tag ko aapke website code me dekhega aur aapko success message display kar dega.
Agar aapko success message nahi dikhta hai to aap apne WordPress cache ko clear kare, is segoogle aapke site ke latest version ko fetch kar lega.
That’s all aapne successfully apne site ko Google search console me add kar liya hai. Ab aap ‘Go to Property’ link pe ja kar Google Search Console dashboard me visit kar sakte hai.
Yaha se aap apne website’s performance reports aur index coverage ko dekh sakte hai.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( Google Search Console Verification Kaise Kare ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Latest Post :
- WordPress Posts Me Author Info Box Kaise Add Kare
- Filezilla FTP Client Setup Kaise Karen ?
- Images Aur Media Files Ko WordPress Me Rename Kaise Kare.