Google ka Knowledge Panel wo block hai jise aap apne search result me screen ke right side me dekhte hai. Aap jub bhi Google pe kuch search karte honge to aapko bahut se search result ke sath right side me ek box bhi dikhta hoga jaha pe aapke search result se related kuch chizen di hui hoti hai. Is post me hum aapko batayenge ke Google’s Knowledge Panel kya hai aur hum apne site ke liye knowledge kaise create kar sakte hai?
Google’s Knowledge Panel kya hai?
Knowledge Panel ek information box hai joki aapke Google pe kisi jagah chiz ya place ko search karne pe appear hota hai. Upar diye gaye Image me right side me jo information dikh raha hai use hi knowledge panel kaha jata hai. Google knowledge box Google pe available kisi bhi information ka ek quick snapshot hota hai jo useer ko us topic se related quick information provide karta hai.
Knowledge panel automatically generate hota hai aur knowledge panel me display kiye jane wale information web pe available various sources se aate hai.
Hame Knowlege Panel ki Care Kyu Karni Chahye
Agar aap apne naam, Brand, ya business name jaise search term ke liye Google me apna presence chahte hai to Knowledge Panel aapke liye bahut useful hai. Agar Google aapko ya aapke business ko is panel me dikhata hai to aap desktop pe right side ke search result me bahut zyada dominate honge.
Knowledge Graph ki help se jub log aapki company ko search karte hai to wo search result me alag dikhta hai jiski wajah se aapki website pe zyada se zyada click aate hai. Jaise hi aapki website pe diye gaye information change hote hai Knowledge panel me diye gaye information automatically change ho jate hai.
Apne Business ke liye Knowledge Panel Kaise Paye
Google pe search kiye jane wale sabhi tarah ke search result ke liye Google ye decide karta hai ke uske liye Knowledge panel show karna hai ke nahi. Agar aap ek local business run kar rahe hai to aap kuch chizon ko kar ke knowledge panel ke ke sath rank hone ke chance ko badha sakte hai. Lekin ek branded aur personal pannels ke liye knowledge panel pana kafi mushkil hai.
Local panels
Agar aap chahte hai ke Google aapke business ke liye local panel ko display kare to sab se pahle aapko Google My Business account open karna hoga. Account banane ke baad hi aap verify kar sakte ahi ke aap us business ke owner hai. Iske baad aap apne business se related sabhi information jaise address opening hours, photos etc ko add kar sakte hai.
Iske sath hi aapko Knowledge panel pane ke liye apni site ko Google Search Console me add karna aur business ke liye structured data markup ko add karna hai.
End me Google is baat ko decide karega ke aapke business ke liye Knowledge Panel display karna hai ke nahi. Aapke business ka relevance, distance, aur iski popularity ye sabhi Google ke knowledge panel display karne ke important aspects hai. Iske sath hi agar aapki site ka performance accha hai aur uski authority domain acchi hai to aapke chances badh jate hai.
Also Read:
- Google RankBrain Kya hai?
- Google Ke Important Ranking Factors
- Specific Keyword ke Liye Google search Ranking Ko Improve Kaise Kare