Jub aap blog start karte hai to aapka sabse pahla goal yahi hota hai ke aap apne site pe zyada se zayada traffic aur subscriber gain kar sake. Aapki is koshish ko poora karne me Google Analytics bahut helpful hai. Google analytics aapko important stats show karta hia taki aap apne visitors ko behtar tareeqe se jaan sake. Aaj is guide me hum aapko batayenge ke aap Google Analytics use kaise kare.
Google analytics ko website pe add karna bahut aasan hai. Google analytics ke setup guide ke liye niche ke link ko follow kare.
Google Analytics ki help se aap ye pata alaga sakte hai ke aapki website pe kaun visit karta hai, log aapki website pe kya karte hai, log kab aapki site pe visit karte hai, Log aapki website pe kis tarah pahaunchte hai, aur log aapke contants ke sath kis tarah se intract karte hai.
Is guide me hum aapko Google analytics use karne ke bare me detail se batayenge. Is article ko parhne ke baad aapko sabhi analytics ke bare pe pata chal jayega ke kis data ko hum kya pata laga sakte hai.
How to use Google Analytics in WordPress
Upar diye gaye Screenshot me maujood nubers ki help se hum aapko batyege ke aap in data ki help se apne website ke different data ke bare me kaise pata laga sakte hai.
- Date Range: Pahla number date range ka hai. Date range ki help se aap kisi particular duration ko set kar ke apne site ke data ka pata laga sakte hai. Date range ko set karne ke liye aapko kuch options mil jayenge jaise pichle 30 dino ka date, pichle 7 dino ka date. Iske alawa aap apna custom date ka range bhi set kar sakte hai.
- Stats Graph: Stats graph ki help se aap apne site ke page view, number of users, session waghairah ke graph ko dekh sakte hai.
- Graph Plot Range: Graph plot range ki help
se aap apne graphke range ko selectkar sakte hai,jaise , hourly, daily, weekly, monthly. - Sessions: Yahn pe kisi particular date range me aapke site ke session ke number show kiye jayenge. Koi user aapke site pe aakar chahe jitne bhi pages ko explore karta hai wo ek session me hi aata hai.
- Users: Kisi particular date range me jitne bhi unique visitor aapki site pe visit karte hai ye uska number show karta hai.
- Page views: Yahan pe
aapke total openkiye gaye page ka numberhota hai. Ismesabhi page view counthote hai,ek session me multiple page view hosakta hai. - Pages/Session: Ek session me user jitn bhi page open karta hai uske avarage number ko show karta hai.
- Average Session Duration: Is data ke use se aap apni site pe aane wale user ke average time duration ka pata laga sakte ke wo aapki site pe aane ke baad kitni der ruka.
- Bounce Rate: Agar user aapki site pe aane ke baad bina kisi dusre page pe visit kiye bina back ho jate hai ya phir kisi dusre site pe chale jate hai use bounce rate kaha jata hai. Aap apne site ke structure ko attractive bana kar bounce rate kam kar sakte hai.
- Percentage of New Sessions: Isme aapki site ke completely new session ko dikhaya jata hai. Simple word me jaan le ke yahan pe aapki site pe aane wale naye visitors ke percentage ko dikhaya jata hai.
- New Visitors Vs Returning Visitors Graph: Yah graph new visitors
aur aapki site pe returning visitorske ratio ko dikhata hai. - Segment Add Option: Data ko show hone ke liye aap yahan pe segment add kar sakte hai aur apne hissab se customize kar sakte hai.
- Website Selection: Is option ki help
se aap apne multiple websites me switchkar sakte hai. Ye option tabkaam karega jub aapne ek hi google accountse multiple google analytics addkiya hoga . - Search Reports and Help: Yahan pe
aap reportaur Google Analytics Help Articles ko searchkar sakte hai. - Customization Menu: Yahan pe
aap apne Google Analyticsse jure datake layer ko customizekar sakte hai. Realtime Reports: Is report ki helpse aap dekh sakte haike real time meaapke website pekitne log haiaur wo aapki website pekis page pe hai.- Audience Reports: Yahan pe aap apne audience ke sabhi data ko dekh sakte hai.
- Aquisition Reports: Is report se aapko pata lagega ke aapki site pe kin resource se traffic aa rahi hai.
- Behavior Reports: Ye report aapko aapki site pe user ke behaviour ko batata hai, ke log aapki site pe kya sabse zyada pasand kar rahe hai.
- Conversions Reports: Agar
aap affiliate sellke conversion ko trackkarna chahte hai to ye reportaapko conversionke bare me informationdeta hai. - Administrator Options: Yahan pe admin ke sabhi feature ka use kar sakte hai.
In sabhi feature ki help se hum apne visitors ke bare me detail information hasil kar sakte hai aur apne website pe traffic ko increase karne ek liye kuch measures ka use kar sakte hai.
Umeed hai ke aapko Google Analytics use karna ka ye guide helpful sabit hua hoga.