Kya aap apne WordPress website pe Google analytics install karna chahte hai ? Aapka apne website ke bare me ye janna bahut important hota hai ke aapke audience aapke website ko kis tarah se use karte hai. Apne audience ke bare me behtar tareeqe se janne ka sabse accha way hai traffic stats, aur google analytics aapko aapke traffic states ke bare me free me sare information provide karta hai. Is article me hum aapko batayenge ke How to Setup Google Analytics Account ?
How to Setup Google Analytics Account ?
Google analytics pe account create karne ke liye aapko sabse pahle apne google account se login karna hoga. Aap ek account free me create kar sakte hai.
Google Analytics account ko create karne ke liye aapko sabse pahle Google analytics signup page pe jana hoga. Login karne ke liye aapke pass google account hona chahye. Agar aapke pass account nahi hai to aap create kar sakte hai. Signup karne ke liye aapke samne is tarah ka web page aayega, required field ko fill kar ke aap login kar sakte hai.
Aur agar aapka gmail account nahi hai to aap Create account pe click kar ke naya account create kar sakte hai.
Ek baar sign-in ho jane ke baad aapke samne niche screenshot me diya gaya screen appear hoga. Aapko Sign up ke option pe click karna hoga.
Next screen pe aapko website or mobile app me selection karna hoga. website select kar.
Aapko Account name enter karna hoga jo aake google analytics ka profile name, Website name, website’s URL, country, aur time zone enter karna hoga.
Sabhi information ko enter kar lene ke baad aap Get Tracking ID button pe click kare. Aapke samne ab Google Analytics ka terms aur service page open hoga jispe aapko agree karna hoga.
Ab aapko Google analytics ka tracking code pane ke liye kuch terms and condition pe agree karna hoga. Check box ko check kare aur I Accept button pe click kare.
Ab screen pe Google analytics tracking code page open ho jayega. Apko tracking code ko copy karna hoga kyu ki ise aapko apne wordpress website pe enter karna hoga. Code ko enter karne ki zaroorat aapke method pe depend karta hai. Yahan pe hum jo method aapko bata rahe hai isme aapko code enter karne ki zaroorat nahi hogi.
Ab is tracking Id ko aapko apne WordPress website pe enter karna hoga. Tracking code wale tab ko open hi rahne den, aapko website pe id setup karte waqt is page pe aana par sakta hai.
Ab aapne Google Analytics account ko setup kar liya hai, ab aapko Google analytics ko wordPress me setup karna hoga.
Google Analytics ko WordPress me setup kaise kare
WordPress me Google Analytics ko add karne ke 3 different ways hai. Is post me hum aapko MonsterInsights se setup karna batane wale hai.
MonsterInsights Plugins ki help se Google analytics ko setup kare
MonsterInsights WordPress ke liye ek best Google Analytics plugin hai. Google Analytics ko add karne ke liye ye sabse best plugin me se ek hai. Iska free aur pro dono version available hai. Is tutorial me hum aapko google analytics ko Monterinsight ke free version ke sath setup karna batayenge.
Sabse pahle aapko apni website pe MonsterInsights plugin ko install aur activate karna hoga. Plugin ko intall karne ke liye aap niche diye guide ko follow kar sakte hai.
Activation ke baad aapke WordPress admin menu me ‘Insights’ menu item add ho jayega. Aapko plugin ki setting ko configure karne ke liye Insights me Settings me Launch setup wizard pe click kar ke setting ko configure kar sakte hai.
Ya phir aap activation ke baad hi ise configure kar sakte hai. Aapko dono me same option milega. Activation ke baad aapke account ko authenticate karne ke liye MonterInsight ko connect karne ka option aayega. Aap connect MonsterInsight par click kare aur authenticate kare.
Authentication ke liye aapko apne google account me sign-in karna hoga.
Ab aapse MonsterInsights ko aapke Google Analytics account ko access karne ke liye permission mangi jayegi. Permission grant karne ke liye Allow pe click kare.
Ab aapko us profile ko select karna hai jise aap track karna chahte hai.
Profile select karne ke baad aapse recommended setting ko setup karne ke liye kaha jayega. Setup karne ke baad Save and continue pe click kare.
Aapse kuch addon ko aad karne ke liye kaha jayega use skip kar ke save and continue pe click kare. Screen pe aapke setup ke complete ho jane ka message aa jayega. Finish setup and exit wizard pe click kare. Aapko site pe redirect kar diya jayega.
Ab aap apne dashboard me apne google analytics report ko dekh sakte hai. Aap simply apne Insights me Reports me ja kar apne analytics data ka ek overview le sakte hai.
Umeed hai ke aap ke liye ye article How to setup google analytics account helpful hoga. Google analytics ke use karne ke guide ko janne ke liye niche diye gaye link ko follow kare.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( How to Setup Google Analytics Account ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?