Agar aapko apne time ko bachane ke liye ya apne site ke working ko test karne ke liye aapko apne page ya post ko duplicate karne ki zaroorat hai, to aapke pass kuch option hai. Aap apne existing version ko affect kiye bina duplicate post ya page create kar sakte hai. Is article me hum aapko batayenge ke aap WordPress page ya post ko duplicate kaise kare.
WordPress Page ya Post Ko Duplicate Kyu kare?
Kabhi kabhi aapko apne blog me kisi page ya post ko copy karne ki zaroorat par jati hai. Jaise agar koi article hai jise aap new article ke form me extend karna chhate hai.
Aap manually apne post ya page ke content ko new draft ke form me copy paste kar sakte hai. Halaki ye aapke featured image, post settings, SEO settings, aur dusre metadata ko copy nahi karenga.
Agar aap apne content ko copy aur paste kar ke lambe process ko follow karna nahi chhate hai to aap aasan tareeqe se automatically post ya page ko settings aur content ke sath duplicate kar sakte hai.
Is approach ke sath aap apne post ko edit karne ke sath hi uspe kaam karna start kar sakte hai.
To chalye dekte hai ke kisi post ya page ko kaise clone kare.
WordPress Post or Page Ko Duplicate Kaise Kare
Sab se pahle aapko Duplicate Post plugin ko install aur activate karna hoga. Zyada detail ke liye aap hamare step by step guide Plugin kaise install kare ko follow kar sakte hai.
Activation ke baad aap Posts » All Posts page pe jaye, aapko yaah pe har post tittle ke niche do new links clone or new draft dikhega.
‘Clone’ pe click karne se simply ek duplicate post create ho jayega, aur duplicate post post editor me open nahi hoga.
Agar aap ‘New Draft’ option pe click karenge to ye post ko duplicate karne ke sath hi duplicate version ko post editor me open kar dega, taki aap turant uspe kaam start kar sake.
Aapko pages ke liye bhi same option milenge.
Duplicate Post Plugin Settings Customization
Duplicate post plugin bahut accha kaam karta hai aur posts and pages ko by default support karta hai.
Aap plugin ko custom post types, user roles restrict, aur duplicate karte waqt kya copy karna hai useke liye bhi customize kar sakte hai.
To chalye in sare settings ko dekhte hai.
Plugin settings ko configure karne ke liye Settings » Duplicate Post page pe jaye
Settings page ko three tabs me divide kiya gaya hai. First tab aapko duplicate create karte waqt kya choose karna hai uske liye allow karta hai.
Default options zyadatar site ke liye work karta hai. Halaki aap un options ko check kar sakte hai jise aap copy karna chhate hai aur un options ko uncheck kar sakte hai jise aap copy karna nahi chahte hai.
Next, aapko permissions tab pe jana hoga.
By default, plugin plugin administrator aur editor user roles ko duplicate post create karne ki permission deta hai.
Yeh posts aur page post types ke liye duplicate post feature ko enable karta hai.
Agar aap apne website pe custom post type ka use kar rahe hai to wo post type yaha dikhayi dega. Aap yaah pe ye choose kar sakte hai ke aap un post type ke liye duplicate post feature ko enable karna chhate hai ke nahi.
Finally jaha pe aap clone post links display karna chahte hai uske liye Display tab pe click kare. By default plugin uhe post list, edit screen, and admin bar pe show karega.
Apne setting ko store karne ke liye save changes button pe click kare.
Ummid hai aapko apne blog post ko republish karne ka ye article (Post Ko Duplicate Kaise Kare) informative laga hoga. Agar aapka koi swaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye (WordPress in Hindi) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.