Is Post me hum aapko baatyenge “How to Change your profile on Blogger”. Agar aap bhi apne Blogger Profile ko change karna chahte hai to is guide ko follow kare.
How to Change your profile on Blogger
- Apne Google Email aur Password se Blogger pe sign in kare
- Left side me menu me Settings pe click kare aur uske bad User settings pe click kare
- User setting me ja kar aap apne User Profile ko change kar sakte hai. Aap Blogger ya Google+ ke profile ko select kar sakte hai. Change ko save karne ke liye Save Chnages ke option pe click kare
Connect to your Google+ Profile
Apne Google+ Profile se connect hone ke liye niche diye gaye steps ko follow kare:-
- Google+ ko Profile choose kare
- Save settings pe click kare, Aapko Connect to Google+ page pe redirect kar diya jayega
- “I’ve read the above and fully understand” ko Check kare
- SWITCH NOW pe click kare
Blogger se Google+ profile pe Switch karne se kya hoga
- Google+ profile pe switch karne se aapke sabhi blog affected honge.
- Google+ profile Pe switch karne ke baad aap 30 days tak apne profile ko revert kar sakte hai.
- 30 days ke baad aapka blogger profile delete kar diya jayega aur aapko new profile create karna hoga.
- Aapke Blogger profile ka information aapke Google+ profile pe nahi dikhega
- Google+ profiles public hai par aap choose kar sakte hai ke aapka profile Google search engine me aa sakta hai ke nahi.
- Agar aap Google+ profile ko choose karte hai to aapke blog ka naam aapke Google+ profile me change ho jayega aur aapke Google+ profile se link ho jayega.
- Past me kiye gaye comment abhi bhi aapke Blogger Profile naam ko display karenge