Blogger pe Register aur setup karne ke baad jo important chiz hai wo hai Post ko create karna. To aaj is post me hum aapko batayenge ke how to Create a Blog on Blogger.
How to create a Blog on Blogger
- Screen ke top me New Post ke option pe click kare. Left side me Post ke option me ja kar aap posts, create, edits aur view kar sakte hai.
- Post ka title enter kare. Post ke Right me textbox me title enter kare
- Compose pe click kar ke aap apne post ke liye different fonts, sizes aur text color add kar sakte hai. Agar aap HTML me work karna chahte hai to HTML pe click kar sakte hai.
- Upper right corner me Post Settings me ja kar aap reader comments option, HTML settings, aur line break option ko select kar sakte hai. Done pe click kar ke aap apni setting ko save kar sakte hai.
- Save ke option pe click kar ke aap apne work ko save kar sakte hai. Preview pe click kar ke aap dekh sakte hai ke aap ka post kaisa dikh raha hai. Post ko Publish karne ke liye Publish Option pe click kare