WordPress blogging
Aaj is post me hum
How to change WordPress Permalink
Aksar new blogger apne post ke default permalink ko change nahi karne ka mistake karte hai aur baad me unhe jub iske importance ka pata chalta hai to wo apne permalink ko change karna chahte hai. SEO friendly permalink creat ekarne ke liye niche diye gaye link ko follow kare.
Apne post ko publish karne ke baad agar hum apne post ke permalink ko change karna chahte hai aur agar theek dhang se use change nahi kar pate hai to chances hai ke aapka blog me error aa jaye aur aap link juice ko kho de.
To aaeye jante hai ke hum apne post ke permalink ko bina traffic aur link juice khoye bina kaise change kare.
Sabse pahli chiz jise aapko karni hai wo hia apne post ke permalink ko setting me ja kar change karna. Aap Settings me Permalink me jaye aur apne post ke liye post /%postname% wala permalink structure choose kar lijye. Aapko bus itna karna hai WordPress redirection ko automatically handle kar leta hai.
Permalink ko change karne ke baad aap kisi bhi permalink ko open kar ke dekh sakte hai ke wo aapko naye permalink pe redirect kar raha hai ke nahi. Agar aapko naye permalink pe redirect kar diya jata hai to aapka kaam ho chuka ab aapko kuch bhi karne ki zaroorat nahi hai. Aur agar naye permalink pe redirect nahi kiya gya to aap niche diye gaye ways ko try kar sakte hai.
Agar aapka koi post 404 error show karne lag gya hai to aapko apne .htaccess file ko 777 pe change karna hota hai. Apne .htaccess file ko change karne ke baad aapko upar diye gaye process ko phir se repeat karna hoga. Aapko settings me permalink me custom structure ko select karna hai, aur %postname% ko uske field me fill karna hai.
Ab hame purane permalink structure ka use kar ke naye permalink structure me sabhi backlinks ko redirect karna hai. Aisa karne ke liye hame .htaccess file ko edit karna hoga aur niche diye gaye code ka use karna hoga.
RedirectMatch 301 /([0-9]+)/([0-9]+)/([0-9]+)/(.*)$ http://www.domain.com/$4
Upar diye gaye code ko paste karne ke alawa aap ye bhi dhyan de ke .htacces file me niche diye gaye code bhi ho.
# BEGIN WordPress
RewriteEngine On
RewriteBase /
RewriteRule ^index\.php$ – [L]
RewriteCond %{REQUEST_FILENAME} !-f
RewriteCond %{REQUEST_FILENAME} !-d
RewriteRule . /index.php [L]
# END WordPress
Apne blog me interlink kiye gaye post ko aap Broken Link Checker plugin ke redirection module ka use kar ke aap poorane links ko update kar sakte hai.
Umeed hai ke aapke liye ye post ‘how to change wordpress permalink’ helpful hoga.