WordPress me file ko upload karne ke liye bahut se method hai jinki help se hum files ko website pe upload karte hai. Abtak humne files ko upload karne ke liye dashboard aur FTP method ke bare me jana hai aaj is post me hum aapko batayemge How to Upload File Using File Manager. Sometimes apne cPanel account me filess upload krna importent hota hai. Ye apke cPanel account me files manager se pura kiya ja sakta hai.
How to Upload File Using File Manager ?
File manager ka use kar ke bhi direct cPanel ke through aap apni files ko upload kar sakte hain. File manager ek Web Interface hai jo apko apne account se judi sari files ko associate karne ki permission deta hai.
Step 1 : File Manager ki help se file ko upload karne ke liye sabse pahle aapko apne cPanel me login karna hoga.
Step 2 : CPanel me login karne ke liye apne site ke URL ke aaga ‘/cpanel’ add kare aur enter press kare.
Step 3 : Ab aap Home screen pe Files ke section me aa rahe File manager ke option ko select kare.
Step 4 : File Manager open karne ke baad ‘Document root’ select kare jahan aapko file upload karna hai Uske baad.
Step 5 : Upload ke button pe click kar ke aap kisi bhi file ko cPanel me upload kar sakte hai.
Apne cPanel account me filess upload karne ke process ko complete karne ke baad, Agar Plugin ya phir theme ko upload karma chahte hai to apne website ke root directory me ja kar file upload kar sakte hai. Agar aap File manager se theme aur plugins ko upload krna chahte hain to, Uske steps ko dekhne ke liye aap hamre niche diye gaye huye link ko follow kijiye.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( Upload File Using File Manager ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?