Best Free Android Antivirus Apps: Smartphone hamare zindagi ka ek important hissa ban gya hai, ab log phone ka istemal sirf communication ke liye nahi karte hai balki ab apne sensative information ko store karne ke liye bhi phone ka use karte hai. Lekin jaisa ke hum aajkal dekh rahe hai ke data leak ke threats kitne zyada barh gaye hai, aur aise me kya hamare liye ye sahi hia ke hum apne sensitive information ko bina kisi protection ke rakhen.
To agar aap bhi apne sensitive informations ko bina kisi security ke apne phone me rakh rahe hai to ye aapke liye ye khatarnak ho sakta hai. To aise me aaj hum aapke liye le kar aaye hai Best free Android Antivirus ki list jise aap asani se Play store se Download kar sakte hai. Aapko bata den ke yaha pe diye gaye sabhi mobile antivirus ko AV-TEST Institute ne test aur approve kiya hai joki ek independent IT-Security institute hai. To aaeye dekhte best Anti-virus App ki list
Best Free Android Antivirus Apps
Avast Mobile Security 2018
- Iske kuch important features me aapko classic antivirus scanning, applock, call blocker, anti-theft support, rooted Android devices ke liye firewall aur photo vault diya agya hai jiski madad se aap apne private photos ko Pin code se protect kar sakte hai.
- Is App me aapko VPN ki nayi facility dekhne ko milegi jo aapke online activity ko hide karne ke sath hi aapke location ko aapke hisab se change kar dega.
In sabhi features ke sath Avast Mobile Security Android ke liye best mobile antivirus ban gya hai.
Avira
- Ye aapke external device ko scan karne ke sath hi ye bhi batata hai ke ye kitna secure hai.
- ‘cell phone tracker,’ ki madad se zaroorat parne pe ye aapke phone ke location ko track kar sakta hai. Iske sath hi agar apka phone kho gya hai to App us admi ko notify kar sakta hai take wo aapse contact kare.
- Iske premium feature ke sath aap aur bhi bahut saare features jaise camera protection, additional browser security wagairah ko enjoy kar sakte hai.
AVG Antivirus 2018
- Is App me bahut saare aise features diye gaye hai jo modern antivirus me hote hai jaise periodic scans, Wi-Fi security, junk cleaner, ram booster, call blocker, power saver wagairah.
- Iske kuch feature jaise battery, memory, aur phone boosting features sahi se kamm nahi karte hai par in sab ke bawajood ye ek bura option nahi hai.
Bitdefender Antivirus Free
- Fast scanning ke sath hi ye devise ko na to slow karta ahi aur na hi battery ko jaldi khatm karta hai.
- Real-time protection ke sath hi ye App ko install karne pe turant scan karta hai.
- Basic scanning feature ke sath hi simple interface aur quick performance ki facility provide karta hai. Ye Basic need ke liye ek behtareen App hai.
Kaspersky Mobile Antivirus
- Premium version me aapko real-time protection, app lock, anti-phishing aur anti-theft jaise protection mil jayege.
- In sab ke sath hi is App me koi bhi booster feature nahi diya gya jo dusre App ki tarah theek se kamm nahi karta.
- Is App ka primium feature $14.95 ek saal ke liye hai par aap iske sabhi primium feature ko 30 days ke trial period tak free me use kar sakte hai.
Visit our Youtube Video
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.
2 comments
[…] 5 Best Free Android Antivirus Apps […]
Showbox is a popular APK-app for Android. It also works for Windows. http://f-loralmist.tumblr.com
Comments are closed.