Best Android Video Editor Apps: Apne Android phone se kisi bhi Video ko shoot karne ke baad use amazing dikhane ke liye aapko video editing tool ki zaroorat ho sakti hai. Google play pe Android ke liye bahut se App maujood hai jise aap download kar ke apne Android phone se hi kisi bhi video ko edit kar sakte hai. Phone aapko Final Cut Pro aur Adobe Premiere Pro jaisa experience to nahi de sakta hai lekin basic operations ko bahut acche perform kar sakta hai. To aaeye jante hai best video editing App ke bare me
Also Read: इस हफ्ते की Top 5 Apps – 14 October 2018
Best Android Video Editor Apps
FilmoraGo – Free Video Editor
Price: Free / $7.99
FilmoraGo wondershare ka video editing App hai joke ek best video editor App me se ek hai. Ye App theme add karne ke liye, trimming ke liye, cutting aur music jaise sabhi primary functions ko easily perform karne ke liye use kiya jata hai. FilmoraGo ke bahut saare amazing feature free me hi available hai, halaki ye app in-app purchase ke sath aata hai. Yahn pe aap edit ki huyi video ko direct apne gallery me save kar sakte hai ya phir kisi bhi social media pe ise share kar sakte hai.
Features:
- Aap me reverse video play ka option diya gya jiski madad se aap apni video ko reverse me play kar sakte hai.
- Aap Instagram ke liye square 1:1 videos aur Youtube ke liye 16:9 videos create kar sakte hai.
- Is App me aapko slow motion, transitions, music, overlays jaise feature ke sath aur bhi bahut se features milege.
Adobe Premiere Clip
Price: Free
Video editing ke liye Adobe Premiere Clip ki ek apni alag hi pahchan hai. Ye App aapko apne Android phone se video ko quick edit ki permission deta hai. Premiere clip ki sabse acchi feature automatic video creation hai, jub aap kisi bhi video ko open karte hai to aapko App me do option dikhenge Automatic aur Freeform.
App aapke choose kiye gaye photo ya clips ka automatic video bana deta hai. Aap automatic option ko lambe video ke liye choose kar sakte hai par short video ke liye aap FreeForm hi choose karen.
Is App ko use karne ke liye agar aapke pass pahle se koi id nahi hai to aapko ek free adobe id ke liye sign up karna hoga. Ek baar Id create ho jane ke baad aap same detail ko adobe ke kisi bhi App aur desktop software ke liye use kar sakte hai.
- Ye App bilkul free hai aur isme koi bhi Add nahi hai.
- Aap iske bahut sare video editing functions jaise cutting, trimming, adding transitions, music, filters, effects, wagairah ka use kar ke video bana sakte hai.
KineMaster
Price: Free / $4.99 per month
Kinemaster bahut hi powerfu, full-featured video editing tool hai. Is App me full drag-n-drop support ke sath ek multitracked timeline diya gya hai jo different media files ko import aur move karne ke liye aapko aasan way provide karti hai. Video quality ko improve karne ke liye yahan pe aapko bahut saare video editing ke options aur tools mil jayenge.
- Kinemaster video editing ke liye ek wide range provide karta hai, jisme transition effects, text and handwriting overlays, video aur image layers, char additional audio tracks, detailed volume envelope control, jaise features shamil hai.
- Ye premium video editor apne Android user ko PC jaisa video editing experience karne me madad karta hai.
Movie Maker Filmmaker
Price: Free
Movie Maker Filmmaker best video editing App me se ek hai. App video editing tool ke sath poori tarah se free hai, jisme aapke liye track animation effects, live video effects, text animations effects, music slideshows jaise features shamil hai.
Overall ye App short video banane ke liye bahut useful hai, lekin is app pe bahut add aate hai joke shayad aapke liye disturbing ho sakt hai. Adobe ki tarah hi aapko yahan pe naya ALIVE account create karna hoga ya phir aap facebook se login kar saket hai.
Features:
- Background music ke liye aap App me pahle se maujood background music ya phir apne device me maujood koi bhi music select kar sakte hai.
- App me aap video ko asani se trim, corp ya record kar sakte hai.
- App me video effects ki ek variety maujood hai jiseki madad se aap apne video ko effective bana sakte hai.
VivaVideo
Price: Free / $3.99
VivaVideo ek best video editing software, image slideshow maker and movie editing app me se ek hai, jo pahle se maujood video ko edit karne ya App me clip capture karne ka option provide karta hai. Is App ko Android se professional video ko banane ke liye dhyan me rakh kar design kiya gya hai. Yhan pe aapko 200 video filters aur bahut se dusre effects, text input, aur fast and slow motion support mil jayenge jiski madad se aap apni video ko amazing look de sakte hai.
Free version watermark ke sath aata hai water mark hatane ke liye aapko paid version use karna hoga
Features:
- App me inbuilt slow motion video maker aur slideshow maker diya agya hai.
- Iske sath hi video ko cut aur past, trim, merge, wagairah aasani ke sath kiya ja sakt hai.
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.