Password manager: Hamare account me hamare bahut se important information hote hai, jaise ke hamare kaam, hamare finance ya phir haamre social life ki details. Apne in information ko safe rakhna hamare liye zaroori hota hai. Agar hum ek hi password apne sabhi account ke liye use karte hai to ye haamre liye pareshani create kar sakta hai. Agar hamare kisi bhi ek account ka password hacker ko pata lag jaye to wo hamare sabhi account ko hack kar sakte hai. Isliye hamare liye ye zaroori hai ke hum apne sabhi account ka password different rakhen.
Sabhi account ke password ko different rakhne me ek pareshani jo hamare samne aati hai wo hai password ko yad rakhne ki, to aise condition me password manager aapke is pareshani ko door kar sakta hai. Password manager aapke pasword ke track ko ek jagah pe rakhne me madad karta hai taki aap ek jagah se hi apne sabhi password ko access kar saken. Iske sath hi ye aapke liye aise password bhi generate karta hai jo strong aur uncrackable passwords ho.
Also Read: 5 Best Free Android Antivirus Apps
Hum me se zyadatar log password ke liye Google’s Smart Lock se familiar hai. Ye hamare sabhi password ko sync karne ka option provide karta hai jub hum kisi Android device ya phir google chrome me sign in karte hai. Halaki ye helpful hai par ye hame apne password ko store aur sync karne ke alawa koi dusra option provide nahi karta hai. Lakin hamare pass kuch acche Android password manager App maujood hai jo kuch acche feature provide karte hai. To aaeye dekhte hai Android ke liye kuch Best Password Manager App ki list.
List Of Best Free Password Manager
Dashlane Password Manager
Price: Free / $4.99-$9.99 per month
Dashlane ek popular password manager App hai jo Mac, PC, iOS aur Android ke liye available hai. Isme aapko bahut acche features mil jayenge. Ye App aapke password ko AES-256 encryption method se protect kar ke store karta hai.
App ke free version me auto fill, security alerts, 50 passwords tak storage aur single device access jaise feature shamil hai. Iske sath hi aapko automatic password generation, fingerprint login, security dashboard, and security breach alerts jaise feature bhi mil jayengen.
Yahan pe aapko full-featured digital wallet bhi diya gya hai jise aap credit cards, bank accounts, IDs and dusre personal information ke liye use kar sakte hai. sath hi login karne ke liye App ya browser ka use karte waqt App automatically user ke liye information bhi fill kar sakta hai.
App bina Add ke download ke liye free me available hai. Iske premium feature ke kuch khas features jaise unlimited device me password storage aur device syncing, credit monitoring service, identity restoration support, aur $1 million identity theft insurance jaise feature shamil hai.
LastPass Password Manager
Price: Free / $2-$4 per month
Password management ki field me LastPass Android ke liye ek best password manager hai. Ye App aapko security aur pricing ko dhyan me rakhte huye aise feature provide karta hai jo is jaise kisi bhi pasword manager App me aapko dekhne ko nahi milenge.
Aap apne password ko protect kar sakte hai aur apne photos aur audio notes ko secure vallet me ek master password se secure kar sakte hai. Fingerprint scanner support, password generator, password auditor, two-factor authentication, autofill feature jaise aur bhi bahut se unique or uncommon feature hai jo aapko is App me dekhne ko milenge.
Iska free version aapko apne sabhi device par apne password aur data ko sync karne ki permission deta hai. Ye ek cross-platform App hai jise aap Android, iOS, Windows waghairah pe use kar sakte hai. Overall App best Android password manager apps me se ek hai aur bina Add ke free hai.
Keepass2Android
Enpass Password Manager
Password Safe and Manager
Password Safe and Manager password manager ki list me ek accha middle level ka option hai. Ye widget support ke sath aata hai taki aap apne home screen se hi password ko generate kar saken. App ko aap single master password se handle kar sakte hai.
App me kisi bhi tarah ke internet permission ki zaroorat nahi hai, isliye aap apne password ko yahan pe 100% safe rakh sakte hai. Aap password ko different category ke base pe save kar sakte hai aur iske sath hi aap CSV format me apne password ko import aur export bhi kar sakte hai. App me ek inbuilt search function diya gya hai jis se aap different website ke liye store kiye gaye password ka pata laga sakte hai.
App ka pro version Android 6 aur iske upar me Fingerprint login, password history jaise bahut se useful feature provide karta hai. App In-App purchase ke sath bina Ad ke free hai.
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.