Har computer device joki Internet se connect hota hai uska apna ek IP address hota hai. IP address ek unique number (e.g. 151.101.121) hota hai jise computer ya dusre Internet-capable device jo Internet protocol ka use karte hai unse connect hone ke liye assign kiya jata hai. Internet pe IP address computer ki identity hoti hai. Network me devises ko unke IP address ke base pe ek dusre se differentiate kiya jata hai. IP Address do important kaam karta hai host ya network interface ko identify kartna aur location ko address karna.
IP Address ko do part me divide kiya gaya hai Network part aur Host part. Network part Network ko identify karta hai aur Host part Host ya Node ko identify karta hai. Address ka class identify karta hai ke kaun sa part Network se belong karta hai aur kaun sa part Host se. Network ke sabhi node same network prefix ko share karte hai lekin unke unique host number hote hai.
Types of IP Address
IP Address do type ke hote hai, Static aur dynamic. Static IP address aisa Address hota hai jo permanently assign kiya jata hai aur aapke computer ko reboot karne ke sath change nahi hota hai. Dynamic IP Address aisa Address hota hai jo aapke device ko dynamically assign kiya jata hai aur temporary hota hai aur aapke device ke reboot hone ke sath hi change hota hai. Jub bhi hum apne device ko reboot karte hai to ek naya address hamare device ko assign kiya jata hai.
What Is My IP Address
Khud ka IP address janne ke liye aap command prompt me ipconfig command line tool ka use kar sakte hai. IP Address ko janne ke liye apne command prompt ko open kare. Windows computer se Command prompt ko open karne ke liye start pe clik kare aur All programs me jaye uske baad aur phir Command Prompt me. Command prompt ko open kare ipconfig type kare aur enter press kare.
Aap Google searcjh se bhi apna IP Address pata kar sakte hai. Google me “what is my IP address” search kare aur computer aapko aapka IP Address Top search result ke taur pe dikha dega.