Agar aap bhi apne WordPress website ke liye best SEO plugins ki talash me hai to is post me hum aapko best WordPress SEO Plugins ke bare me batayenege. To aaeye dekhte hai Best WordPress SEO Plugin tool ki list ko.
Best WordPress SEO Plugins Tool :
Website ke SEO ko samajhne aur successfully implement karne ke liye bahut se practice aur training ki zaroorat hoti hai. WordPress SEO Plugin kisi bhi special skill ke bina Website ke SEO ko implement karna aasan bana deta hai.
Plugins kya hai iske bere me janne ke liye aap Plugins kya hota hai?parh sakte hai.
Niche diye gaye Plugins ko Install karne ke liye aap hamare Guide WordPress Plugin Install kaise kare ko follow kar sakte hai.
1. Yoast WordPress SEO Plugin :
Yoast ne 2010 me WordPress ke liye Yoast SEO ko start kiya tha. Aur aaj 5+ million downloads ke sath Yoast SEO pahla SEO plugin ban gya hai jise WordPress user install karte hai. Ye Plugin aapke WordPress SEO ke kayi aspects ka dhyan rakhta hai.
Agar aap Yoast SEO plugin ka use kar rahe hai to aapko WordPress site ke sitemap, redirection aur dusre features ke liye kisi dusre Plugin ko use karne ki zaroorat nahi hogi.
Itne sare features ke sath is Plugin ki khas baat ye hai ke aap is plugin ka use free me kar sakte hai. Is plugin ke free version me aapko jo features milenge wo hai:-
- Aap homepage pe meta value Add kar sakte hai
- Aap Single post me meta value add kar sakte hai
- Â
- Social media optimization (image, title & description)
- Apne website ka sitemap file create kar sakte hai
- robots.txt aur .htaccess ko edit kar sakte hai
- Google search console integration
- Focus keyword set kar use on page SEO ke liye optimize kar sakte hai
- Blog ke Indexing ko control karta hai
Yoast SEO ka pro version bhi hai jisme aapko kuchj extra features mil jayenge.
- Redirection
- Yoast Internal Linking
- Incoming aur outgoing internal links
Agar aapki budget itni hia ke aap apne WordPress website ke liye pro version le sake to behtar hai varna free version bhi kafi accha hai.
All in one SEO Yoast ka hi SEO plugin hai jiska use aap Yoast plugin ke alternative ke form me kar sakte hai. Ye dono WordPress SEO ke liye best Plugin hai jise aap use kar sakte hai.
2. Broken link checker WordPress plugin :
Broken link hamare users experience ke liye hi bura nahi hai balki ye hamare website ke SEO ko bhi affect karta hai. Is plugin ki help se hum hum apni site ke broken link ko easily fix kar sakte hai.
Ye ek simple aur powerful plugin hai jo aapke wordPress site ko continuously broken link ke liye scan karta hai. plugin user ko ek aasan dashboard provide karta hai jahan se aap easily broken link ko fix kar sakte hai. Jitne bhi internal aur external broken links hai aap unhe find aur post ko bina edit kiye huye fix kar sakte hai.
Ye ek bahut hi useful plugin hia jise aap free me use kar sakte hai.
3. SEMRUSH :
SEMRUSH ek popular WordPress SEO tool hai jiska use optimization ke liye keyword research aur keyword ke ranking ko track karne ke liye use kiya jata hai.
SEMRUSH ek web based tool hai jiski help se hum rank karne ke liye organic keyword ke sath sath ye bhi pata kar sakte hai ke aap backlink kaha se len, competitor’s advertising strategies ke sath sath aur bhi bahut kuch batata hai.
SEMRUSH ki help se aap apne poore site ke SEO ko audit kar sakte hai aur pata laga sakte hai ke kaun se issue ki wajah se aapke site ki organic growth nahi ho pa rahi hai. SEMRUSH ek paid Subscription tool hai jiska use poori duniya ke SEO professionals karte hai.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( Best WordPress SEO Plugin Tool ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read:
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?