Kya aap apna Online store start karne ka soch rahe hai. Beginners ke liye ye kaam mushkil ho sakta hai khas kar tab jub aap technical background se nahi ho. Lekin aap ko pareshan hone ke zaroorat nahi hai kyu ki aaj is post me hum aapko bateyenge Online Store Kaise Start Kare ?
Online Store Kaise Start Kare ?
Sabse pahle hum aapko bata den ke online store start karne ke liye aapko kin chizon ki zaroorat hogi.
Online store start karne se pahle aapko apne online store ke liye platform ko select karna hoga. Do tarah ke popular eCommerce platforms hai jinka use aap apne online store ko start karne ke liye kar sakte hai. Shopify or WordPress + WooCommerce. Is tutorial me hum aapko batayeng ke WordPress me WooCommerce ki help se aap apna online store kaise setup kare.
WordPress pe online store open karne ke liye sab se pahle aapko Domain, Hosting aur SSL Certificate ki zaroorat hogi.
Domain– Aap apne site ka jo bhi naam rakhna chahte hai use Domain kaha jata hai. Jaise- flipkart.com, Amazon.com etc.
Domain name register karne ke liye aap hamare guide Domain Name Register kaise kareko follow kare.
Hosting– Internet pe aapko apne website ko launch karne ke liye Hosting ki zaroorat hoti hai. Hosting hamare liye internet pe wo jagah provide karta hai jahan pe hamare sabhi files, images waghairah rahte hai.
Hosting Buy karne ke liye aap hamare guide Apne Blog ke liye Godaddy se hosting kaise kharide ko follow kare.
SSL Certificate- SSL Certificate aapke website pe special security layer ko add karta hai, taki aap apne site pe sensitive information jaise credit card number, aur dusre information ko aad kar sakte hai.
Agar aap Hosting Provider se 2 saal ya is se zyada time ka package register karte hai to aapko ek free domain name mil jayega. Hosting Provider hi SSL certificate offer karte hai aap apne hosting plan me hi SSL Certificate ko aad kar ke purchase kar sakte hai.
Hosting aur domain setup karne ke baad aapko apne WordPress ko setup karna hoga.
Step 2. Setting up Online store on WordPress + Woocommerce
Apne Online store ko setup karne ke complete guide ke liye aap hamare niche diye gaye video ko follow kar sakte hai.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( Online Store Kaise Start Kare ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read:
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?