Agar aap khud ko online represent karna chahte hai to aapko sabse pahle apne liye blog ya website banane ki zaroorat hogi. Website bannane ke liye kayi sare platforms aa gye hai jinka use kar ke aap apna blog ya website bana sakte hai. Bloggers bhi inhi platforms me se ek hai jiski help se aap apana khud ka blog create kar sakte hai. Lekin ye platform hame na to zyada feature provide karte ahi aur na hi zyada customization, yahi wajah hai ke log self hosted blog ya website banana zyada pasand karte hai. Apne blog ke liye Top Web Hosting Providers ki list niche di gayi hai.
Self hosted blog ke feature ko janne ke liye niche diye gaye link ko follow kare.
Self hosting blog banane ke liye WordPress ek best platform hai. Poori duniya me 31% se bhi zyada website is software ki help se bane hai. Is software ka use bilkul free hai, aap free me is ka use kar sakte hai. Aapko sirf kuch paise hosting kharidne me spend karni paregi. Hosting ki helps se hum apne blog ya website ke files ya folders, images ko store karne ke liye jagah reserve karte hai. Hosting ki help se hi poori duniya me hamara site browser pe open hota hai. Web hosting kya hota hai detail me janne ke liye niche diye gaye link ko follow kare.
Website banane ke liye hame hosting ki zaroorat hoti hai aur hosting providers se ise hame buy karna hota hai. To jub hum hosting buy karne ke bare me sochte hai to hame aise hosting provider se hosting purchase karna chahye jo reliable ho. To aaj is article me hum aapko kuch top web hosting providers ke bare me batane ja rahe hai. To aaeye jante hai kuch top web hosting providers ke bare me.
Top Web Hosting Providers In India :
A2 Hosting :
A2 hosting ek bahut hi powerful webhosting provider hai. Iska global well-optimized server hai aur apne loading time aur high-performance ke liye jana jata hai. A2 hosting wordpress ke liye recommended nahi hai lekin Wp sites ke sath iska performance bahut hi impressive hai.
A2 hosting 4 packages provide karte hai, SHARED HOSTING, RESELLER HOSTING, VPS HOSTING, DEDICATED HOSTING. A2 hosting ke startup plan me aapko ek website, 5 databases, unlimited storage aur C panel milega. Iske mahnge plan me aapko unlimites sites, database storage aur free SSL and SSD milegi. A2 hosting ke hosting package Rs.278.67 se shuru hote hai. Ye india ke liye ek best web hosting provider hai. Iske dedicated hosting package ka use kar ke aap apne website ko 20 times aur zyada fast kar sakte hai.
HostGator :
HostGator top web hosting providers me se ek hai jo bahut lambe time se hosting service provide kar rahi hai. Ye apne acche service aur quality customer support ke liye poori duniya me famous hai.
Beginners ke liye HostGator ka shared hosting plan ek best option hai. Yahan pe aapko unlimited disk space aur bandwidth ke sath 45-day money back guarantee bhi milti hai. Bahut sare hosting providers ki tarah hi ye aapko sirf kuch click me wordpress installation bhi provide karta hai. Aur sabse important baat ye hai ke hostGator ka India me server hai.
GoDaddy :
GoDaddy top web hosting providers ki list me se ek hai. Ye biggest domain name registrar me se ek hai. Yahan pe aapko apne web hosting ko try karne ka bhi offer milta hai.
GoDaddy bhi apne quality web hosting aur quality customer support ke liye jana jata hai. India me GoDaddy ki multi Indian language me 24 x7 support provide karta hai. Yahan pe aapko HostGator ki tarah hi trial offer bhi milta hai. Dusre companies ke comparesion me aapko yahan ki price kuch mahngi lag sakti hai, lekin jo quality aur support ye provide karte hai uske hisab se inki price zyada nahi hai.
GoDaddy ka cheapest hosting package starter aapko RS 99 me mil jayega aur isme aapko unlimited bandwidth offer ki jati hai, jisko renew karne par aapko Rs 199 pay karna parega.
GoDaddy se hosting kharidne aur WordPress ko install karne ke liye niche diye gaye link ko follow kare.
- Apne Blog ke liye Godaddy se hosting kaise kharide
- Godaddy Hosting Account pe WordPress kaise Install kare
Bluehost :
Bluehost sabse poorane web hosting service providers me se ek hai jo 1996 me start hua tha. Woirdpress hosting ki jub baat aati hai to Bluehost ek bara brand name ban gya hai. Bluehost WordPress.org ki recommend ki hui company hai. Bluehost abhi ke top web hosting providers me se ek hai.
Bluehost web hosting ki help se aapko high traffic ke condition me bhi apne website ke slow hone ke liye pareshan hone ki zaroorat nahi hai. Aap inki 24×7 support ke liye phone, email, or live chat kar sakte hai. Small business ke liye ise #1 mana jata hai.
Bluehost se hosting buy karne ke liye aap hamere niche diye gaye guide ke link ko follow kar sakte hai.
Ab blogger blog aapke sabhi blog visitor ko aapke naye site pe redirect kar dega.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( Top Web Hosting Providers ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?