Kabhi kabhi hamare sath aisa hota hai ke hum apne blog ke kisi page page ko google me index nahi karna chahte hai. Aisa hum apne privacy purpose ke liye karte hai ya phir hum unwanted user ko apne page se door rakhne ke liye karte hai. Is article me hum aapko batayenege How to hide WordPress page from google.
How To Hide WordPress Page From Google ?
Google search engine website owner ko apne content me se jis content ko bhi chahe use hide karne ki permiaaion deta hai. Aap aisa apni site ke robots.txt file or HTML meta tags ke use se kar sakte hai.
Hum aapko niche kuch methods bata rahe hai jiske use se aap apne page ko google me hide kar sakte hai. Aapko jo bhi method behtar lage aap use use kar sakte hai. In methods ka use kar ke aap apne site ke overall ranking ko bina affect kiye huye kisi bhi page ko easily hide kar sakte hai. To aaeye dekhte hai how to hide WordPress page from Google.
Page ko google me hide karne ke sath hi hum aapko ye bhi batayenge ke aap WordPress me apne post aur pages ko password protect kaise kare. Agar aap niche diye gaye methods ka use karna nahi chahte hai to aap is approach ki help se apne post aur pages ki visibility ko control kar sakte hai.
1. SEO ki help se kisi bhi page ko Search Engine me Hide kare.
Ye method bahut aasan hai isliye ise beginners ke liye recommend kiya jata hai.
Is method ka use karne ke liye sab se pahle aapko Yoast SEO plugin ko download aur install karna hoga. Plugins ko download aur install karne ke liye aap hamre guide ko niche diye gaye link pe ja kar follow kar sakte hai.
Ab aapko us post ya page ko edit karna hoga jise aap google se hide karna chahte hai. Post ya page me post editor ke niche aapko aapko Yoast SEO meta kaace sett option dikhega jisme aapko advance settings ke option me jana hoga.
Advance setting section me aapko ye define karna hoga ke search engine aapke post ko index kare ya nahi. Upar diye gaye screenshot ko follow kare aur apne setting ko change kare. Ab aap apne post ko save aur publish kar sakte hai.
Yoast SEO ab aapke post me niche giye gaye code ko add kar dega.
<meta name=”robots” content=”noindex,nofollow”/>
Ye code search engine ko ye baatata hai ke page ko nato follow karna hai aur na hi index.
2. robots.txt File ki help se kisi bhi page ko Search Engine me Hide kare :-
Is method me aapko robots.txt file ko edit karna hoga. Is file ko edit karte waqt aapko bahut careful rahna hoga kki agar aap yahan pe kisi bhi inccorect instruction ko add kar dete hai to aapke website ke SEO pe iska bahut bura asar ho sakta hai, isi wajah se beginners ko is method ko recommend nahi kiya jata hai.
Yah robots.txt file ek configuration file hai jise aap apne wordpress site ke root directory me add kar sakte hai. Ye search engine bot ko instruction provide karne ke liye hoti hia, isliye iska naam robots.txt file hai.
Aap robots.txt file ko edit karne ke liye FTP client ka use kar sakte hai ya phir cPanel me File manager ki help se kar sakte hia.
Agar aapko apne root directory me ye file nahi dikh raha hai to aap ise create bhi kar sakte hai.
Aapko robots.txt file me niche diye gaye code ko paste karna hai.
User-agent: *
Disallow: /your-page/
User-agent line aapko specific bots aapko specific bots ko target karne ka liye allow karta hai. Hum asterisk sign ka use sabhi engine ko include karne ke liye karte hai.
Agli line aapke URL ke us part ko define karti hai jo aapke domain name ke baad aata hai.
To ab hum assume karte hai ke niche diya gya blog post ko search engine se hide karna hai.
Niche bataya gaya hai ke upar diye gaye post ko hide karne ke liye url ko robot.text file me kaise add kare.
User-agent: *
Disallow: /2019/18/my-blog-post/
Apne changes ko save karna na bhoole aur robot.text file ko server pe upload kare.
Content ko hide karne ke liye robots.txt file ko use karne ke disadvantages
Is method ko use karne ka sabse bara disadvantage ye hai ke robots.txt file publically accessible hoti hai. Isliye ise koi bhi access kar sakta hai aur pata laga sakta hai ke aapne kaun si file hide karne ki koshish ki hai.
Bahut se search engines robots.txt file ke instruction ko ignore bhi karte hai. Aur wo aise bot hote hai jo site pe malware ko phailate hai.
3. WordPress me Post or Page ko Password Protect Kare :-
Is method ki help se aapke post ya page ko sirf wo hi log dekh sakte hai jinhe aapke post aur page ka password pata hoga.
WordPress apne post aur pages ko password protect karne ke in-built feature ke sath aata hai. Simply aapko apne un pages ya post ko edit karna hai jise aap password protect karna chate hai.
Aapko Publish Meta Box ke pass visibility option ke aage public option pe click kijye. Click karne pe aapke samne kuch option aa jayenge. Aap apne post aur page ko password protect ke option pe click kar ke password protect bana sakte hai.
Private post sirf login users ke liye available hote hai jinka role editor role ke liye login hote hai. Aap kisi bhi post ko public private ya password protect rakh sakte hai.
Password protect post kisi bhi user ke liye visible hota hai jise password pata ho. Password protected option pe click kare aur strong password enter kare.
Ab aap apne page aur post ko save ya publish kar sakte hai. Ab jo bhi visitors aapki site pe is post ko access karenge unse password manga jayega. Password enter karne ke baad hi wo aapke post ke content ko dekh sakte hai.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( Hide WordPress Page From Google ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read:
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?