Har website owner ke liye WordPress security ek bahut important topic hai. Ek report ke mutabiq google har week 20,000 website ko malware ki wajah se aur 50,000 sits ko phising ki wajah se blacklist karta hai. Bahut saare WordPress plugins hai jo aapki website ko hacking se prevent karne me helpful hai. Aj is post me hum aapko best WordPress security plugins ke bare me batayenge.
Is article me hum aapko kuch aise plugin ke bare me batayenge jo aapki website ko hacking aur spamming se protect karne aur site ki security ko improve karne me helpful hoga. To aaeye dekhte hai best wordpress website security plugins ki list
Best WordPress Security Plugins Ki List :
WordPress PHP aur MySQL based system hai aur ye hack attempt ke liye unsecure hai, isliye aapko apne website ke database aur wp-content folder ke liye regular proper backup system setup karna chahye. Aap apne website ke liye best backup plugoin ke liye niche diye gaye guide ko follow kar sakte hai.
1. Sucuri
Sucuri ek top Auditing, Malware Scanner WorcPress Plugin hai jiske 0.4 millions se bhi zyada downloads ho chuke hai. Ye plugin bahut saare options ke sath aata hai taki aapke wordpress website ke health ko monitor kar sake.
Ek baar plugin ko install aur activate karne ke baad aap plugin ke setting ko configure kar sakte hai. Ek baar plugin ko activate karn ke baad bahut sare fetures automatically activate ho jate hai, kuch feature ko aapko configure karne ki zaroorat hogi.
2. Login LockDown
Login Locks ek aisa plugin hai jo certain no se zyada login attempts hone pe login function ko disable kar deta hai. Brute force attack ek common type ka attack hai jo WordPress site pe hota hai. Login Locks ek aisa plugins hai jiski help se brute forece attack ko roka ja sakta hai.
Agar aapki site pe bahut sare failed login attempts hote hai to 5 minutes ke andar me same IP se hone wale login attempt ko plugin agle ek ghante tak ke liye block kar deta hai.
3. Restricted Site Access
Agar aap apne wordpress website ke kisi ek part pe user aur visitors ke access ko restrict karna chahte hai to aap is plugin ka use kar sakte hai. Is plugin ki help se aap apne site pe unwanted visitors ko maintain kar sakte hai.
Plugins un visitors ko jo aapki site pe login nahi hai ya jinka IP address allow nahi hai unhe aapki site ko access nahi karne deta hai. Aap kuch important configuration ko reading setting panel ke sath sath multi site Network Settings panel me bhi add kar sakte hai. Aap panel me niche diye gaye options ko add kar sakte hai.
- Aap site ke restriction ko enable ya disable kar sakte hai.
- Aapp restriction ke behaviour ko change kar sakte hai, jaise- send to login, redirect, display a message, display a page
- Restricted visitors ko define karne ke liye simple messag eset kar sakte hai.
- Redirect location ko customize kar sakte hai.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( Best WordPress Security Plugins ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read:
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?