Agar aap kisi link pe click karte hai aur wo “404 page not found” error show karta hai to aap kaisa feel karte hai. Broken links kisi ke liye bhi annoying hota hai aur ye bad user experience create karta hai. Broken links website ke SEO pe bad impact dalta hai, khas kar tab jub ye broken links aapke site ka internal link ho. To aaeye jante hai Broken Link kya hai aur WordPress me ise Fix kaise kare ?
Broken Link Kya Hai ?
Aisa link joki exist na karta ho aur error show karta ho broken link kahlata hai. Broken link web pe aisa link hota hai hai jo work nahi karta hai. Jub bhi broken link pe aap click karenge ek error message display hoga. Jub kabhi aap apne blog post ko kisi website se link karte hai aur baad me us website ke page ko remove kar diya jata hai to aapke post me broken link display hota hai.
Ye broken link aapke visitors ke sath sath search engine bot ko bhi aapke page ko crawl karte waqt milta hai to ye aapke blog ke SEO pe negative impact dalta hai. Kuch aise website hai jinki help se aap apne site ke broken link ko check kar sakte hai jaise Free Link Checker, W3C Link checker
WordPress me ise Fix Kaise Kare ?
WordPress pe Broken link check karne ke bahut saare ways available hai jinki help se aap broken link ko easily aur quickly fix kar sakte hai.
Broken Link Checker WordPress ke liye ek free tool hai jo aapko site ke broken link ko find karne ke sath sath redirections ko bhi highlight karta hai. Ye WP plugin aapke site ke sabhi URL ko check karta hai aur broken aur redirected links ka ek complete report deta hai.
Broken Link Checker WordPress Plugin Ka Use Kaise Kare ?
Sab se pahle Broken Link Checker plugin ko activate aur install kare. Activate hone pe Settings me Link checker page pe jaye. Plugin automatically aapke website pe broken link ko dhundhna start kar dega. Ek baar process complete ho jane ke baad
Ek baar search process complete ho jane ke baad aapko same page pe broken link ke sath ek link dikhayi dega.
Aap us link pe click kar ke ya tool me ja kar broken link page pe ja kar aap broken link ko dekh sakte hai. Aap broken link page se ya page ke edit section me ja kar sakte hai. Broken link ko fix karne ke baad aap Broken Link Checker Plugin ko uninstall ya deactivate kar sakte hai.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( Broken Link kya hai ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?