Apki website pe ek good structure hone se readers ko apke content ko find krne me easy ho jata hai. Yahi reason hai ki WordPress apke website content ko proper organize way me rakhne ke liye categories aur tags offer karta hai. Jaise jaise apki website grow karti hai, Apko apni categories ka naam change ya use other categories ke sath merge krna pad skata hai. Is article me janenge ki SEO strategies ko bina affect kiye huye WordPress Me Category Rename Kaise kare ?
Category Rename Kaise kare ?
WordPress me nice category management area hai, to aaiye in sare steps ko follow krte huye website ke existing category ko apne according rename kare :
Step 1: Sabse pahle aap WordPress admin dashboard pe sign kare.
Step 2: Uske baad apko window ke left side me posts ka option dikh raha hoga. To apko posts option pe jakr Categories ka option choose karna hai.
Step 3: Categories pe click krne ke baad, Aapke samne Categories ka page open ho jyega.Apko is page pe Add New Category ka option dikh raha hoga, Aap yahan se new category create krna chahen to kar sakte hain. Apko same isi page pe pahle se create ki huai category ki list dikh rahi hogi.
Jis bhi Category ko Rename krna hai uspe cursor le jaiyga to apko Edit | Quick Edit | Delete ka option milega. Agr aap Quick Edit way choose krte hain to apko category name aur slug ko quickly chnge krne ka option mil jyega. Lekin agr aap description bhi add krna chahte hain to apko Edit ke option pe click krna hoga.
Step 4: Jab aap Edit pe click kijyega, Fir apko Edit Category ka page open ho jyega, Apko yahan pe pahle se jo Category Name diya huaa hai, Use delete kar ke, Jo aap new Category Name dalna chah rahe hain use daal dijye. Aap yahan se slug aur description ke sath parent category bhi choose kar sakte hain.
Ek baat jo apko dhayan me rakhni hai vo ye hai ki jab aap category slug chnge krenge to category URL change ho jyega. Isliye agr aap apne WordPress menu me us URL ka use kar rahe hain to Menu me link khud update nhi krega. Apko new category URL ke link ko manually update krna hoga.
Step 5: Jab sari changes ho jaye to aap Update krna na bhule.
Ek baar jab apne apni WordPress category ka naam change kiya hai to, Apko search engines aur users ke liye proper redirection setup krne ki zarurat hogi. WordPress Me 404 Pages Track aur Redirect krne ke liye aap hmare separate article ka use kar sakte hain. Is method se apko other sites se ane wale users aur sath hi search engine ko sahi categories URL par redirect karne ke liye allow karta hai.
WordPress apko category URLs me /category/ Prefix change krne ki ke liye bhi allow karta hai. Jise category base kahte hain. Ise change krne ke liye apko ana hai Setttings » Permalinks me apko scroll down krne pe Optional ka option dikhega. Fir apko category base and tag base change krne ke liye form dikhega.
For example : Apka pahle se http://www.example.com/category/your-category-slug/ URL hai, aur apne ise change kar ke http://www.example.com/topics/your-category-slug/ kar diya.
Apni category ke names me right keywords use krne se apki site ki SEO ranking increase ho sakti hai. ye users ko apki site ke content ke through easily navigate krne ke liye allow karta hai.
Ummid hai aapko ye article ( Category Rename Kaise kare ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Read Also :
- WordPress Me Featured Images Add Kiyun aur Kaise Kare ?
- Email Blast Kiya Hai Aur Email Blast Kaise Kare – The Right Way