Apke liye kafi challenging ho sakta hai apni website ko ek location se dusre location pe move krna, Agr apko ye nhi pata ho ki link ka kya krena hai to. Just recently humne is bare me baat ki thi ki WordPress Site ko Move Karte Time URL Update Kaise Kare, Lekin kya hoga agr log apke old URL ke through apki site par kisi bhi page ko access krne ke liye try krenge to? Aaj is article me humlog dekhenge ki WordPress Me 404 Pages Track aur Redirect Kaise Karenge ?
404 Pages Track aur Redirect Important Kiyun Hai ?
Apni website ko ek web host se another pe switch krna easy task nhi hai. Web host switch krte waqt humlog kuchh setting kho dete hain aur inme se ek hai redirects. Aise me Redirect Important isliye hai kiyunki, Ye ensure krega ki apke old URL par jane wale visitors new URL par redirect hon.
Redirects only surefire way hai jisse ye sure hota hai ki visitor web host switch hone ke baad correct page pe jayen, lekin iska ye matlb bilkul bhi nhi hai ki aap aur dusra tarika try hi na karen. For example : Apne social media accounts ka use sabhi major changes ko spread krne ke liye karen. Facebook, Twitter, aur Instagram huge platforms hain jo apko apne community se connected rakhte hain. Community pe apni website ke aise changes ki information dene se ek trust sense bhi build hoga.
404 Pages Track aur Redirect Kaise Kare ?
Aaj, Aap dekhenge ki kaise Redirection plugin ka use karke WordPress Me 404 Pages Track aur Redirect kiya ja sakta hai. Redirection plugin ke 900,000 active installs se zyada hain. Iska best part ye hai ki ye completely free hai. Isme apko apni .htaccess file ke bare me bhi knowledge ki bhi zarurat nhi hai. Redirection ek aisa WordPress plugin hai jo 301 redirections ka management krta hai, 404 errors ka track rakhta hai, aur generally apki site ke kisi bhi Loose ends ko thik kar skta hai.
Setting Up Redirection :
Step 1: sabse pahle apko Redirection plugin ko install aur activate krna hoga. Kisi bhi plugin ko apne website me install aur activate kaise karte hain, iske liya aap hmare step by step guide WordPress Plugin Install Kaise Kare ki help le sakte hain.
Step 2: Redirection plugin install aur activate ho jye, Fir apko ana hai Tools » Redirection page pe, Plugin ka set up krne ke liye. Redirection setting kafi easy hai, Lekin first time ye thoda confusing ho sakta hai.
Step 3: Apko Add New redirect section me ana hai jahan pe information enter krna hai.
Step 4: To Add new me ane ke baad, Apko Source URL ka option dikh raha hoga usme apko 404 page enter krna hai. Aur Target URL vo hai jahan pe aap ab visitor ko bhejna chahte hain.
Step 5: Sari information enter krne ke baad “add redirection” pe click kar ke apne setting ko save kar len.
Step 6: Ab test krne ke liye new URL pe jayen aur dekhen ke ye work kar raha hai ya nhi.
Ye setting karne ke baad jo koai bhi broken URL (Yafir jo post apne moved kiya hai) se link hota hai, to automatically use new location pe redirect kiya jayega.
Tracking 404 Pages :
Jab bhi aap apne web host ko switch krte hain to content ka move krna, ya fir old content ka delete ho jata na common occurrence hai. Apko ek hi baar bahut se 404 pages nhi milenge, ye apko different times me show honge. Redirection plugin me 404 ko track krne ka bhi option hai. Jab bhi koai 404 page show hoga to Redirection plugin ise track kar lega. Aur iski information apko leni hai to aap Redirection plugin men 404 tab pe click kar ke le sakte hain.
Agr apko website pe koai 404 page hoga to yahan pe show ho jyega. Unfortunately, Ye sabhi true nhi hone, Yahi vajh hai ki apko redirect set krne se pahle question me link ka test krna chahiye.
Yahn pe apko 404 page ki sari information mil jyegi. For Example : Koai apke old post se link ho sakta hai jo ab apke paas nhi hai, To aap unhe kisi another location par redirect kar sakte hain. Apko sirf log entry ki date ke niche ‘Add redirection’ link pe click krna hoga.
Ye plugin apke modified posts ke liye redirection bhi handle krta hai. Agr apne apni post ka URL modify kiya hai to ye plugin ek automatic redirect set up kar deta hai. To agr aap ek serious blogger hain to ye plugin apke liye bahut impotent hai. Agr aap chahen to hmare WordPress 404 Error ko kaise fix kare article ko bhi read kar sakte hain.
Ummid hai aapko ye article ( 404 Pages Track aur Redirect ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Read Also :
- WordPress Me Category Rename Kaise kare ?
- WordPress Me Featured Images Add Kiyun aur Kaise Kare ?
- Email Blast Kiya Hai Aur Email Blast Kaise Kare – The Right Way