SMS Se Location Kaise Share Kare?:- Aajkal internet pe bahut se aise Application available hai jinki help se hum apne current location ko share kar sakte hai. Lekin in features ka use karne ke liye aapke pass ek internet hona chahye aur aap jise apna location send kar rahe hai uske paas wohi app hona chahye jiska use aap kar rahe hai.
Kabhi kabhi hamare sath aisa bhi hota hai ke hume apne location ko apne friend ya family me kisi ko send karna hota hai par hamare pass internet connectivity nahi hoti hai.
Aaj is post me hum aapko batayenge ke aap kis tarah se apne text messaging app se Google map ke zarye se apne current location ko send kar sakte hai.
SMS Se Location Kaise Share Kare
Is method ki help se aapka contact bina kisi application aur internet ki facility ke aapke location ko receive kar sakta hai.
RCS (Rich Communication Services) ke introduction ke baad SMS me bahut se multimedia feature add ho chuke hai, jisme se ek location hai. Jaisa ke hum jante hai ke SMS service bina internet ke use kiya jata hai, to hum iske location feature ko bhi bina internet ke use kar sakte hai. To chalye hum dekhte hai ke SMS se location kaise share kare.
- SMS se location kaise share karne ke liye sab se pahle hamare phone me Message app hona chahye. Agar aapke phone me pahle se message app nahi hai to aap ise Google play store pe ja kar download kar sakte hai.
- App ko install aur activate karne ke baad aap sahi necessary permission ko grant kare aur ise apne smartphone ka default message app set kar len.
- Ab aap ‘Start Chat button’ pe tap kare.
- Aap contact list se phone number choose kar len ya phir manually enter kare.
- Aap chat window se ‘+’ icon pe tap kare.
- Aap niche scroll kare aur Map option pe tap kare, aur permission grant kare.
- Next screen pe aap location send karne ke liye ‘Send this location’ pe tap kare.