Bahut sari website ke liye search engine traffick ka main source hota hai. Hum sab chahte hia ke hamari website pe zyada se zyada traffic organic search se aaye. Is post me hum aapko Best WordPress SEO Plugin ke bare me batayenge jiski help se aap apne blog ke SEO ko improve kar sakte hai.
Apne website ke organic search ko increase karne ke liye hame apne website ke SEO pe dhyan dena hota hai.
Agar aap apne WordPress website ki ranking ko Google jaise search engine me top position pe rank karana hai to aapko WordPress SEO plugin ki zaroorat hai.
Lekin itne sare plugins me se best plugin ko find karna ek mushkil kaam hai. Isi liye aaj is guide hum aapko 2019 ke Best SEO plugin ke bare me batane wale hai. To aaeye jante hai 2019 ke best seo plugin ki list.
Top 3 Best WordPress SEO Plugin :
1. WordPress SEO by Yoast :
WordPress SEO by Yoast WordPress pe sab se zyada use kiye jane wala SEO plugins hai.
Ye abtak ka sab se zyada use kiye jane wala SEO plugin hai jiske abtak 5 million se hi zyada downloads ho chuke hai.
Hum apne blog ke SEO ke liye bhi isi SEO plugin ka use karte hai.
Is Plugin ki help se aap apne sabhi page aur post me SEO title, meta description, aur meta keywords ka use kar sakte hai.
Iske sath hi aap is SEO plugin ki help se aap apne WordPress site ke sitemap, redirection ke sath hi niche diye gaye features ko bilkul free me use kar sakte hai.
- Aap homepage pe meta value Add kar sakte hai
- Social media optimization (image, title & description)
- robots.txt aur .htaccess ko edit kar sakte hai
- Google search console integration
- Focus keyword set kar use on-page SEO ke liye optimize kar sakte hai
- Blog ke Indexing ko control kar sakte hai
Hum aapko advice karenge ke aap is analysis pe zyada dhyan na de. Ye basic chizen hai inmese koi bhi major ranking factor nahi hai.
Yoast ki readability analysis kafi had tak useful hai jo aapko batata hai ke aapka content read karne me kitna easy ya difficult hai.
Yoast SEO, SEO ke liye ek est starting point hai jise aap use kar sakte hai.
Yoast SEO ka pro version bhi available hai jisme aapko kuch extra features mil jayenge.
- Redirection
- Yoast Internal Linking
- Incoming
aur outgoing internal links
Agar aapki budget itni hia ke aap apne WordPress website ke liye pro version le sake to behtar hai varna free version bhi kafi accha hai.
2. All in One SEO Pack :
All in One SEO Pack me bahut sari functionality SEO Yoast jaisi hi hai. SEO Yoast ke comparison me ye thora zyada customizable hai, aur isme kuch zyada feature hai.
Is SEO plugin me aapko jo extra feature milegi wo hai:-
- Apne robots.txt file ko edit kar sakte hai.
- FTP ke bina .htaccess file ko edit kar sakte hai.
- “bad bots,” aur referral spam ko block kar sakte hai.
- Sitelinks search box markup add kar sakte hai
- Meta descriptions ko Autogenerate kar sakte hai
3. Premium SEO Pack – WordPress Plugin :
Premium SEO Pack ek well-known search engine optimization plugin hai jisme aapko sabhi tarah ke SEO feature hai.
Is SEO me aapko image optimization, social sharing, rich snippet, local SEO, SERP position aur monitor aapko sab kuch milega. Is SEO Plugin me aapko SEO Yoast aur All in One SEO dono se zyada feature milenge.
Ye ek high-quality, comprehensive SEO plugin hai jisme aapko wo sahi feature milenge jise aapko apne site ko optimize karne me zaroorat hogi.
Ye SEO plugin aapko free aur paid dono version me mil jayega. Aap Codecanyon se ise $44 ke price pe uy kar sakte hai.
Iske free version ko teen saal pahle update kiya gya hai isliye hamare hisab se iska free version zyada useful nahi hai.
Is SEO plugin me aapko jo khas feature milegi wo hai:-
- Internal link building
- Rich snippet functionality
- 301 Redirections Management
- On-page optimization
- Google Analytics
- 404 pages
- backlink builder
Premium SEO plugin ko deactivate karne ke baad dashoard me aapko Monitorize, On-page optimization, Of page optimization, Advanced Setup, aur Plugin settings ke ta dikhenge.
Aap un modules ko activate kar sakte hai jise aap rakhna chahte hai aur unhe deactivate kar sakte hai jinhe aap nahi rakhna chhate hai. Agar aapko kisi bhi module ke are me samjh me na aaye ke ye kaise kaam karta hai Ye the kuch Best WordPress SEO Plugin jinhe aap apne site ke SEO ko enhance karne ke liye use kar sakte hai.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( Best WordPress SEO Plugin ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Latest Post :
- WordPress Posts Me Author Info Box Kaise Add Kare
- Filezilla FTP Client Setup Kaise Karen ?
- Images Aur Media Files Ko WordPress Me Rename Kaise Kare.