Agar hum apni website ko high-rank karana chahte hai to hame ye pata hona bahut zaroori hai ke Website Spam Score kya hota hai aur hum website spam score ko kam kaise kare. Is post me hum aapko website spam score check kaise kare aur use kaise kam kare iske bare me batane wale hai. To aaeye jante hai How to Check & Fix Website Spam Score in Hindi.
Sab se pahle aapko bata den ke hamari website ka spam score is baat pe depend karta hai ke humne apni website pe kis tarah ke content ko share kiya hai aur wo kis tarah ke website se connected hai.
Hum apni website pe jitne acche content share karenge aur jitni acchi website se Backlink banayenge hamari website utni hi spam free hogi. To chalye jante hai ke ye website Spam score kya hota hai?
Website Spam Score Kya hai?
To sab se pahle hum jante hai ke website ka spam score Kya hota hai. Spam score Moz ka jari kiya gya ek Rating system hai jise Moz ne 2015 me jari kiya tha. Spam score un sites ke percentage ko represent karta hai jinhe Google ne Panalize ya Ban kiya hota hai. Spam Score website ke content aur uske Backlink ke basis pe diya jata hai. Spam Score 1% se 100% tak measure kiya jata hai.
Aksar naye log apni website ke DA ko badhane ke liye kuch aise website pe backlink bana lete hai jinka spammy hota hai aur aise condition me apne website ke bhi spam score ko badha lete hai. Aur jub hamari website ka spam score badh jata hai to Google hamari website ko penalize kar uski rank ko kam kar deta hai.
Spam score badh jane ke baad chahe hum apni website ka kitna bhi SEO kyu na kar le Google ya dusre Search engine ise Rank nahi karata hai. Isliye agar hum apni website ko rank karana chahte hai to ye bahut zaroori hai ke hamari website spam free ho. To aaeye jante hai ke hum apni website ke spam score ka pata kaise lagaye aur ise kam kaise kare.
Website Spam Score Check kaise kare
Apni website ke spam score ko janne ke liye hume Moz ke Link Explorer naam ke Tool ko Use karna hoga. Is Tool ki madad se hum aasani ke sath apne website ke spam score ka pata laga sakte hai. Niche diye gaye steps ki help se aap spam score ka pata laga sakte hai.
- Moz ke Link Explorer tool ko open kare
- Link explorer pe jane ke baad apni website ke link ko waha pe paste kare aur Search icon button pe click kare.
- Ab left navigation menu me Spam Score pe click kare.
- Spam Score pe click karne ke baad aapko apni website ka spam score dikh jayega.
Moz ke aalawa bahut se aur bhi Spam score checker tool hai jaise “Small SEO Tools” jinki help se ap apni website ke spam score ka pata laga sakte hai.
Moz ne website spam score ko teen part me banta hai.
- 0-4 flags number – is number ka matlab aapki website 0.5% to 7.5% spammy hai, aap is score ko ignore kar sakte hai.
- 5-7 flags number – Iska matlab aapki website 11.4% to 30.6% spammy hai. Is range se danger zone start hota hai aur aap ise ignore nahi kar sakte hai.
- 8-17 flags number – Iska matlab hai ki aapki website ka spam score 56.8% to 100% spammy hai. Iska matlab hai ke Google kabhi bhi aapki website ko penalize kar sakta hai.
Ab aapne website ke spam score ko check kar lene ke baad aapko ise kam karne ke liye kuch steps ko follow karna hoga. To aaeye dekhte hai un steps ke bare me jinki help se hum apne website ke spam score ko kam kar sakte hai.
Website Spam Score kam kaise kare?
Spam score ko kam karne ke liye sab se pahle aapko un links ka pata karna hoga jinki wajah se website ka spam score badh gya hai. Bad baklinks ka pata karne ke baad aapko un sabhi bad backlinks ko google websmaster me Disavow karna hai. Badlinks ka pata lagane ke liye aap Ahrefs, Semrush, Moz Explorer tools kause kar sakte hai.
Webmaster me badlinks ko Disavow kar dene ke baad Google un sabhi links ko consider nahi karega aur aapki website ka spam score ghat jayega.
Backlinks ko Disavow karne ke liye sabse pahle aap bad backlinks ki file ko download kare.
- Bad backlinks ki file ko download kar lene ke baad aap Google Disavow Links ko open kare
- Ab aap us website ko open kare jiski links ko aapko Disavow karna hai.
- Ab aap Disavow Links button pe click kar ke bad backlinks ko submit kar sakte hai.
Upar diye gaye steps ko follow kar ke aap apne website se bad backlinks ko hata sakte hai.
Umeed hai aapko website spam score pata karne aur use kam karne ka ye article pasand aaya hoga. Isi tarah ki aur bhi jankari ke liye aap hamare post ko aage bhi padhte rahe.