Download WhatsApp Beta version on iOS:WhatsApp ne apne Android aur windows phone user ke liye public beta program ko bahut pahle hi launch kar diya tha aur ab WhatsApp ne apne iOS user ke liye official public Beta program launch kiya hai joke pahle kuch users group tak hi limited tha, par ab WhatsApp ne apne Beta program ke is restriction ko hata diya hai aur ab ye sabhi interested iOS users ke liye available hai.
Ab iOS ke Beta version users bhi un sabhi latest feature ko try kar sakte hai jo official public hone se pahle aate hai. Agar aap bhi apne iOS pe Beta version ko join karna chahte hai to niche diye gaye steps ko follow karen.
Also Read: Beta Version Kya Hota Hai?
Download Beta Version for iOS
- WhatsApp Beta version ko download karne ke liye sabse pahle aapko TestFlight ko App store se download karna hoga.
- Jub TestFlight install ho jaye to aap yahan pe click kar ke slot ke liye request kar sakte hai.
- Abhi WhatsApp Beta program ka slot full hai is liye aapko next slot ka intezar karna hoga.
- Slot choose karne ke baad website aapko TestFlight ke page pe redirect kar dega jahan pe aap ‘Accept’ pe tap kar ke slot pa sakte hai.
- Invite ko accept kar lene ke baad aap iOS ke liye WhatsApp Beta ka test shuru kar sakte hai.
- Ek baar jub aap TestFlight App ko install kar lene ke baad App apko alert karega ke aapka data loss ho sakte hai. Lekin webinfo ke report ke mutabiq Chat history hataya nahi gya hai. Lekin whatsApp ko Beta version me update karne se pahle iska backup bana lena ek accha idea hai. is liye aap apna backup bna len.
WhatsApp Beta version pe lagbhag har do din pe update aata hai. Is liye yaad rakhe ke Beta ka motive bugs aur issues ko report karna hai, to agar aapko naye update me koi issue dikh raha hai to aap report karne ke liye
- WhatsApp Settings me “Contact Us” pe tap karen
- Ek short description likhen ya jahan pe aapko bug mila hai uska screen short attach kare aur send kar den.
Official release se pahle sabhi bug ko remove kar dene ke liye WhatsApp developers team receive kiye gaye report ko khasi importance dete hai. Isliye agar aapko koi issue mile to aap use report kar skate hai.
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.