How to Download WhatsApp Beta on Android: Dusre App ki tarah hi WhatsApp naye feature ko public roll-out karne se pahle testing ke liye apne Beta version ka use karta hai. Aap ne dekha hoga ke jitne bhi feature WhatsApp pe aate hai wo pahle Beta version pe aate hai. Jitne bhi feature hum WhatsApp pe ab use kar rahe hai ye sabhi feature WhatsApp Beta version pe bahut dino pahle aa chuke hai. Agar aap bhi WhatsApp Beta join karna chahte hai to Niche diye gaye steps ko follow karen.
WhatsApp Beta version ko join karne se pahle hum aapko bata den ke WhatsApp Beta version me update regular App ke muqable me bahut zyada aate hai, to aise log jo is update ki wajah se pareshan ho sakte hai wo Beta version se door hi rahe.
Also Read: Beta Version Kya Hota Hai?
How to Join WhatsApp Beta on Android
Android pe Beta version ko download karne ke do option hai pahla browser ke zarye aur dusra direct Gopogle play ke zarye.
Web browser ki madad se Android ke liye WhatsApp Beta program ko join karne ke liye niche diye gaye steps ko follow karen
- Apne choice ka koi bhi browser open karen jaise –Chrome, Firefox, ya Opera
- Google Play website pe WhatsApp beta test page pe jaaye
- Jis Google account se apna Android device use karte hai us account me login karen
- Agar aap multiple account se login hai to icon ki madad se preferred account ko select kar sakte hai.
- “Become A Tester” likhe huye button pe click karen
Ab aap Android ke liye WhatsApp Beta Testing process me enrol ho gaye hai. Ab niche diye gaye steps ko follow kar ke aap Android ke liye latest WhatsApp beta program ko download kar sakte hai
- Apne Android phone pe Google Play ko open karen aur WhatsApp ko search karen
- Jub aap App ka page open karenge to aapko “WhatsApp Messenger (Beta)”title dikhega jiske niche “You’re a beta tester for this app. Awesome!” ye likha hoga
- Aapko agle kuch ghanton me WhatsApp ke liye update prapt hoga jo aapko Beta version me le jayega
Follow these steps to join WhatsApp beta for Android using Google Play:
- Google Play open karen aur WhatsApp search karen
- “Become a beta tester” panel ka pata lagane ka liye niche scroll karen.
- “I’m in” wale section ko touch karen
- Aap se confirm hone ke liye kaha jayega
- ‘Join’ ko choose Karen
How to leave WhatsApp beta for Android programme
Agar aapko WhatsApp ke Beta version se koi problem ho raha hai to aap general public ke liye vailable WhatsApp pe ja sakte hai. Yahan pe bhi aap Browser aur Google play store ki madad se ye kaam kar sakte hai.
How to leave WhatsApp beta for Android via a Web browser
- Apne choice ka koi bhi browser open karen jaise –Chrome, Firefox, ya Opera
- Google Play website pe WhatsApp beta test page pe aaye
- Jis Google account se apna Android device use karte hai us me login karen
- Agar aap multiple account se login hai to icon ki madad se preferred account ko select kar sakte hai.
- page pe “Leave the testing program” likha hua dikhega
- “Leave the testing program” section me aapko “Leave the program” ka option dikhega uspe click karen
- Agla page jo open hoga uspe likha hoga “You left the test”
- Current WhatsApp beta version ko uninstall karen aur public version ko install karen
How to leave WhatsApp beta for Android via Google Play:
- Google Play open karen aur WhatsApp search karen
- “Become a beta tester” panel ka pata lagane ka liye app niche scroll karen.
- “Leave” ke button ko touch karen, ye aapko confirm karne ke lioye kahega is liye ‘Leave’ ke option ko dobara choose karen
- Current WhatsApp beta version ko uninstall karen aur public version ko install karen
Agar aapko WhatsApp Beta program ko join aur leave karne me koi diqat aa rahi hai to aap hame comment me likh sakte hai.