What is Tor Browser?
Tor (The Onion Routing) ek aisa browser software hai jise anonymously internet browsing ke liye design kiya gya hai taki information ko safe rakha ja sake. Halaki Tor Browser ko aksar Dark web aur criminal activity se jora jata hai. Is Browser ka use aksar law enforcement officials, reporters, activists, waghairah legitimate reasons ke liye karte hai.
Tor ko U.S. government ke sensitive communications ko protect karne ke liye United States ke Navy ne develope kiya tha lekin baad me ye sabhi ke liye available kar diya gya. Browser network me user traffic ko hide karne ke liye exit relays aur encrypted tunnels ka use karta hai. Tor kisi bhi dusre popular Browser ke comparison me zyada secure hai.
Tor Browser different node ke zarye se data ko transfer kar ke aapke IP ko hide karta hai. Ye basically aapke IP tak pahunchne se pahle hi different IP ke zarye se data ko transfer kar deta hai. Taki agar koi aapke data ke zarye se aapke location ko track karne ki koshish kare to wo aapke location ko track nahi kar sake.