Abtak Google AdSense ka account approval process simple tha aap naya account create kate the, aapka account review hota tha, Adsense team aapke application ko accepts karta aur aap apne website pe ad implement kar ke paise earn karna start kar sakte the.
Lekin ab AdSense ne apne AdSense approval process ko change kar diya hai. Aur naye publisher ke liye ise easy bana diya hai. Niche AdSense new account approval process diya gya hai.
AdSense New Account Approval Process
- Ensure kare ki aapka website AdSense compatible hai
- AdSense account ke liye signup kare
- Apne AdSense account me Login kare
- AdSense code ko add kare
- Final review & approval ke liye wait kare
- Final approval process finish hone tak ad blank show hoga. Add approve hone me 2-week tak ka time lag sakta hai. Is baat ko sure kar le ke aap Ad ko remove na kare.
- Final AdSense approval ke baad aapko ek confirmation email milega.
- Jub aapka AdSense earning $10 pahunch jayega to AdSense aapke address pe ek PIN mail karega.
- Apne AdSense account pe login kare aur Pin ko enter kare.
- Jub aapka earning $100 pahunch jayega to AdSense aapko aapki earning send karega. AdSense payment ke liye direct bank transfer ko enable kare.