Best Document Scanner Apps: Smartphone haamre bahut se kamo ke liye zaroori hai. Jisme se ek hai hamare documents ko digitalize karna. Hamre pass hamesha scanner available nahi hota hai aur hame apne documents ko scan karne ki zaroorat hoti hai. Hum apne phone ko kuch Apps ki help se scan karne ke liye use kar sakte hai. Mobile pe scanner ki help se hum apne documents ko PDF format me scan kar sakte hai, apne payment ke receipt ko scan karne ke sath hi bahut kuch kar sakte hai . Ab phone acche quality ke camera ke sath aata hai, to hum apne documents ko high quality me scan kar sakte hai. To aaeye jante hai kuchBest Document Scanner Apps ke bare me.
Best Document Scanner Apps
Adobe Scan
- Single file me Multiple page scan
- Scan kiye gaye document ke color ko correct karne ka option deta hai.
- Worthy OCR scanner
CamScanner
- Use karne me aasan hai aur aapko yahan pe sabhi essential features mil jayenge.
- OCR support diya gya hai.
- Cloud Storage services bhi diya gya hai.
- Important file ko secure karne ke liye aap passcode set kar sakte hai.
Clear Scan
- Ye dusre canner applications ke comparison me lightweight hai.
- Ye fast operate hota hai.
- Cloud support provide karta hai.
Fast Scanner
- Multiple page editing support.
- Fast run karne ke liye optimized hai.
Microsoft Office Lens
- Quick aur operate karne me aasan hai.
- School aur business dono purposes ke liye App productive hai.
Also Read: 5 Best Translator App For Android
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.