Ek catchy aur clear URL banana ek hard kaam ho sakta hai. Kabhi kabhi hamare sath aisa hotra hai ke hum apne post ko publish karne ke baad hamare dimagh me ek behtar URL aata hai. Kabhi aisa bhi hota hai ke hamare URL me hum se kuch ghalti ho jati hai. Hame pata hai ke URL ek bahut important ranking factor hai jo search engine ko hamare content ko samajhne me help karta hai. Aise condition me agar hamare URL me ho jane wali ghalti hamare liye problem create kar sakte hai. To aaeye aaj is post me hum jante hai ke hum WordPress URL change kaise kare.
URL Change Kyu Kare?
Aapke pass apne WordPress URL change karne ke bahut se reasons ho sakte hai:
- Agar aap new domain pe move kar rahe hai to aapko URL update karne ki zaroorat hogi.
- Aapka URL aapke post ya page ke content se match nahi kar raha ho.
- Ya aapne apne Url me koi mistake kar diya ho.
Apne URL Ko optimize karne ka ek accha tareeqa ye hai ke aap user-friendly slug create kare. Slug aapke URL ka wo part hota hai jo aapke domain name ke baad aata hai aur aapke post ya page tittle ka naam hota hai.
Dusre words me hum kah sakte hai ke slug URL ka wo part hai jo aapke post ya page ke content ko explain karta hai.
URL change karte waqt is baat ka khyal rakhe ke aapko apne us URL ko touch na kare jo pahle se hi search engine me accha perform kar raha ho. Aise URL ko fix karne ki zaroorat nahi hai
Apna WordPress URL change kaise kare?
WordPress me apne post URl ko change karne ke liye luckly ek easy way hai jiska use karke aap apne URL ko easily change kar sakte hai. Aap SEO plugin ki help se apne post ya page ke slug ko easily change kar sakte hai.
Agar aap Yoast premium ka use karte hai to aap jub bhi apne slug me koi changes karna chahenge to ye automatically aapko aapke old URL pe aapke new improved slug ko redirect karne ka option provide karega. Aisa karne se aap apne post me aane wale 404 error se bach sakte hai.
Agar hum apne old URL ko bina apne new URL pe redirect kiye ise improve ya change karenge to aise condition me hame apne old URL pe 404 error milega. To chalye dekhte hai ke hum kaise apne URL ko update kare.
- Post editing screen pe jaye.
- Us Post ko search kare jise aap change karna chahte hai.
- “Quick” edit pe click kare.
- ‘change slug’ field me apne post ke slug ko change kare.
- Update pe click kare.
Ab redirect manager automatically redirect creates kar dega. Is liye ab aapko is baat ke liye pareshan hone ki zaroorat nahi ke user ko aapke is post pe 404 error milega.
Pst editor screen pe slug ko change karne ka ek aur way hai. Post pe click kar ke post editor open kare.
- Sidebar ke Right-hand side me aapko ‘Permalink’ dikhega.
- Uspe click kare.
- ‘URL slug’ me slug ko change kare.
- Apne new slug ko create kar ke update ke option pe click kare.
Is bar bhi redirect maneger automatically URL ko redirect kar dega.
Good slug
Agar aap ek accha slug create karna chahte hai to aapko apne slug ko optimize karne ke liye useme keyword ke use ke sath use short aur descriptive rakhna hoga. Agar aapke slug me koi unnecesary word hai to aapko use remove kar dena chahye.
Ummid hai aapko WordPress URL change karne ka ye article (WordPress URL change kaise kare) informative lagi hoaa. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye (SEO in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress aur SEO Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.