Kya aapne kabhi aise situation ko kabhi face kiya hai jahan WordPress aapko logout karta hai. Agar aapke sath bhi ye problem aa raha hai to aaj is post me hum aapko ise fix karne ke bare me batayenge. Hum aapko batayenge WordPress Logging Out Problem ko Kaise Fix Kare ? Is problem ko session time out problem bhi kaha jata hai.
WordPress Logging Out Problem ko Kaise Fix Kare ?
Logging out problem ko fix karne ke liye aapko is baat ka dhyan rakhna hoga ke aapke WordPress setting me Site Address aur WordPress Address field dono ka URL same rakhna hoga. Iska matlab ye hai ke Aapko dono field me www or a non-www URL choose karna hoga.
Is Problem ko fix karne ke liye aapko apne dashboard me login karna hoga. Dashboard me settings me general ke option ko select kare.
General setting me WordPress address aur site address ko same URL me change kare aur save kare.
Agar aap admin area ko access nahi kar pa rahe hai to aap in fields ko wp-config.php file ko edit kar ke update kar sakte hai.
Apne website ko FTP client se connect kare aur site ke root directory me wp-config.php file locate kare.
File right click kar ke edit/view ke option ko select kar ke Notepad ya kisi dusre text editor me open kare.
Uske baad That’s all, stop editing! Happy blogging line se pahle niche diye gaye code ko add kar den.
define(‘WP_HOME’,’http://example.com’);
define(‘WP_SITEURL’,’http://example.com’);
Code add karne ke baad file ko save kare aur phir se website pe upload karne ke liye Yes ke option ko select kare.
Agar aap apne URL me www prefer karte hai to upar ke badle niche diye gaye code ka use kare.
define(‘WP_HOME’,’http://www.example.com’);
define(‘WP_SITEURL’,’http://www.example.com’);
Upar diye gay code ko likhte waqt is baat ka dhyan zaroor rakhe ke example.com ko aap apne site ke domain name se replace kar den.
URL ke address ko same address me change aur update karne karne ke baad aapka logging out ka issue fix ho jayega.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( WordPress Logging Out Problem ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read:
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?