Agar aap apne WordPress site pe free live chat widget add karna chahte hai to post me hum aapko batayenge ke aap WordPress blog me live chat kaise add kare ? Apne blog pe live chat functionality ko add kar ke hum apne visitors ke sath interact kar sakte hai. Aap real-time me apne visitors ke questions ka answer de sakte hai aur problem ko solve hi kar sakte hai.
Is post me hum aapko step by step explain karenge ke aap WordPress blog me live chat kaise add kare. Hum live chat ka use visitor ke sath aat cheet karne ke liye, unke question ke answer dene ke liye, product aur service ke help provide karne ke liye kiya jata hai.
Agar aap apne log pe kisi hi tarah ka koi service provide karte hai to live chat aapke liye bahut faydemand hoga. ye aapke visitors ke sath sath aapke sell ko hi grow karne me help karta hai. To aaeeye dekhte hai ke hum kaise apne WordPress site pe live chat add kare.
WordPress Site Me Live Chat Widget Kaise Add Kare ?
WordPress pe live chat add karne ke bahut saare live chat solutions available hai jinhe aap use kar sakte hai. Aap WP Live Chat, Tidio Live Chat, LiveChat Inc jaise live chat solution ka use kar ke aasani ke sath apne site pe live chat widget add kar sakte hai.
Is tutorial me hum LiveChat Inc ka use karenge joki market ka best LiveChat software hai. Ye Plugin free nahi hai aapko iske use ke liye paid subscription lena hoga. Ye market me sabse cost-effective live chat plugins me se ek hai. Live chat ka paid subscription $16/ month se start hota hai, lekin aap iske 30 days free trial period ka use kar sakte hai jo product testing ke liye diya jata hai.
Agar aap ek small business ko run kar rahe hai ya aapne ahi hi apna business start kiya hai to ye aapke liye ek best option hia. Live chat ke liye invest karna aapke liye kafi faydemand sait hoga kyuki agar aap live chat ka use karte hai to ye aapke business ko grow karne me help karta hai.
- Live chat add karne ke liye aapko sabse pahle LiveChat website pe jakar signup karna hoga. Page ke top right corner pe aapko Signup ka option dikhega.
- Signup pe click karne ke baad aapko ek naye page pe redirect kar diya jayega jaha pe aapko kuch basic information jaise full name, email address, and password enter karne ke liye kaha jayega.
Sabhi detail ko fill kar lene ke baad aap Create account ke option pe click kar ke apna account create kar sakte hai.
- Ab aapke samne ek page open hoga jisme aapko Live chat Plugin ko install karne ke ways ke bare me bataya gya hoga. Us step ko follow kar ke aap live chat plugin ko install aur activate kare.
Instruction ko follow kare aur apne live chat acciunt ko activate kare. Live chat plugin ko install karne ke liye aap hamare article WordPress Plugin Install kaise kare ko follow kar sakte hai.
Live Chat Window Ke Appearance Ko Customize Kaise Kare ?
Live chat account ko activate karne ke aad a hum use customize karne ke are me aapko batayenge. Aapka live chat window aisa hona chahye ke wo aapke user ke attention ko khinch sake. Live chat aapko apne chat window me aapke hisab se changes karne ke liye allow karta hai taki wo aa[ke need se match kar sake.
Appearance me changes karne ke liye aapko left sidebar me LiveChat account area ke Settings link pe click karna hoga. Setting link pe click karne pe aap Customization page pe aa jayenge, jahan pe aap apne live chat window ko different style de sakte hai aur use real time me dekh hi sakte hai.
Screen ke right side me aap maximized window aur minimized version ke liye theme select kar sakte hai. Yahan pe aap apne site ke color se milta hua chat window ka color choose kar sakte hai. Aap Advanced window tweaks link pe click kar ke aap LiveChat Inc logo ko apne site ke logo se replace kar sakte hai.
Link pe click karne pe aapke samne ek page open hoga jime aap “Upload your logo” ke iption pe click kar ke apne logo ko update kar sakte hai.
Aap yahan pe apne social media profile ke link ko hi add kar sakte hai. Complete hone baad aap “I’m done editing” button pe click kare. Customization complete hone ke baad aap changes ko store karne ke liye Save Changes button pe click kare.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( WordPress Blog me Live Chat Kaise Add Kare ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Latest Post :
- WordPress Posts Me Author Info Box Kaise Add Kare
- Filezilla FTP Client Setup Kaise Karen ?
- Images Aur Media Files Ko WordPress Me Rename Kaise Kare.