Kya aap WordPress me Load More Posts Button use karna chahte hai? Aapne bahut sare popular platform pe dekha hoga ke jub user page ke bottom me pahunch jate hai to unhe Load More Posts ka option dikhta hai. Aaj is post me hum aapko batayenge ke aap WordPress Me Load More Posts Button Kaise Add Kare ?
Hame Kab Aur Kyu WordPress Me Load More Posts Button Use Karna Chahaye ?
Agar aap apne visitor ko engage rakhna chahte hai to ultimately ye aapko zyad views aur zyada se zyada subscriber pane me help karta hai.
Bahut sare blog apne home, blog, aur archive pages ke last me ‘Older posts’ navigation link ka use karte hai. Kuch websites numeric page navigation ka use karte hai
Agar aap load more post button apne blog me add karte hai to ye ek best user experience ke sath sath aapke content ko zyada se zyada dekhe jane ke chances provide karta hai.
To aaeye dekhte hai ke hum load more posts button ko apne Worpress site pe kaise add kare.
Load More Posts Button Ko WordPress Me Kaise Add Kare ?
Load more posts utton ko WordPress me add karne ke liye sa se pahle aapko Ajax Load More plugin ko install aur activate karna hoga. Plugin install aur activate karne ke liye aap hamare step by step guide WordPress Plugin Install kaise kare ko dekh sakte hai.
Activation ke baad WordPress admin area me plugin ek ‘Ajax Load More’ naam ke new menu ko add kar dega. Aapko uspe click kar ke Plugin setting page pe jana hoga.
Setting page pe aap apne utton ke color ko choose kar sakte hai. Aap button ko infinite scroll se replace hi kar sakte hai jo aapke log post ko button pe click kiye ina hi automatically load kar dega.
Ab aapko post ko display karne ke liye template ko add karna hoga jiske liye aapko Ajax Load More » Repeater Template page pe jana hoga.
Ye plugin ek basic template ke sath aata hai jisme post kpo display karne ke liye WordPress loop hota hai.
Ye aapke theme ke sasth match nahi karta hai aur aapki site pe ye alag sa dikh sakta hai. Isliye is problem ko fix karne ke liye aapko us code ko copy karna hai jise aapka theme index, archive, aur blog pages ko display karne ke liye use karta hai.
Normally ye code aapke theme ke template-parts folder me hota hai. Is folder me aapko ahut sare template dikhenge jaise content-page.php, content-search.php etc jise different content ko display karne ke liye use kiya jata hai.
Content.php file me code mil jane ke baad aapko is code ko Repeater plugin settings me Templates field me paste karna hoga.
Apne setting ko storekarne ke liye aap Save utton pe click karna na bhoolen.
A aapko Ajax Load More » Shortcode Builder page me ja kar shortcode generate karna hoga. Is page pe aapko ahut sare options milenge jise aap customize kar sakte hai.
Yahan pe sase pahle aapko container type select karna hai. Agar aap sure nahi hai to aap us template ko dekhe jise aapne pahle copy kiya tha. Zyadatar modern theme <div>
; element ka use karte hai.
Ab aap scroll kar ke buttom label section me aa jaye. Yahan pe aap button pe appear hone wale text ko change kar sakte hai. By default ye plugin ‘Older Posts’, plugin ka use karte hai, aap ise ‘Load more posts’ ya kisi dusre words me change kar sakte hai.
Ab last me aapko ye select karna hai ke kya aapke post automatically load ho jaye ya phir user ke load more posts button pe click karne ke wait kare.
Ab aapka short code use karne ke liye ready ho chuka hai. Ab aapko sahi coloum me shortcode ka output dikhega. Aap is code ko copy kare aur use text editor pe paste kare, aapko next step me iski zaroorat hogi.
Load More Posts ko Apne WordPress Theme Me Add Kare ?
A aapko apne code ko WordPress theme files me add karna hoga. Is kaam ko karne se pahle aap pane WordPress theme ka backup lena na bhoole.
Ab aapko us template file ko search karna hoga jisme aap load more posts button ko apne theme me display karna chahte hai.
Aapke theme jis tarah se organize hoga uske base pe normally index.php, archives.php, categories.php, etc file honge.
Aapko pahle se copy kiye gaye code ko theme me endwhile;
tag ke just baad me add karna hoga.
Hum theme file me short code add kar rahe hai isliye hame ise do_shortcode function ke andar add karna hoga jaise:-
echo do_shortcode('[ajax_load_more container_type="div" post_type="post"]');
Ab aap apne chnages ko save karke apne site pe ja kar ‘Load more posts’ button ko action me dekh sakte hai.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( WordPress Me Load More Posts Button Kaise Add Kare ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Latest Post :
- WordPress Posts Me Author Info Box Kaise Add Kare
- Filezilla FTP Client Setup Kaise Karen ?
- Images Aur Media Files Ko WordPress Me Rename Kaise Kare.