What Theme is Site Using : Kya aapne kabhi ye janne ki koshish ki hai ke aap jis site pe visit karte hai us pe kaun se Theme ka use kiya gya hai. Kabhi kabhi hamare sath aisa hota hai ke hum kisi website pe visit karte hai aur us website ki Theme hame bahut pasand aati hai, aur hum chahte hai ke waisa hi theme hum apne website pe use kare.
Is post me hum aapko kuch options ke bare me bata rahe hai jiski help se aap kisi bhi blog pe use kiye gaye WordPress Theme ka pata laga sakte hai.
How to Find Out What Theme Website is Using ?
Method 1. Using 3rd Party Tool :–
Agar aap ek non-technical person hai to ye aapke liye ek best option hai ke aap kisi website ke theme ka pata kisi third-party Theme ke help se kare. Bahut se aise online services hai jahan pe aap kisi bhi site ka URL daal kar pata laga sakte hai ke wo blog kis company ke theme ka use kar raha hai.
Aap WhatWpthemeisthat or WPThemedetector ka use is purpose ke liye kar sakte hai. Ye website aapko us blog pe use kiye gaye Plugins ke information bhi provide karega.
Method 2. Checking Theme Source File :–
Agar aap kisi blog pe use kiye Theme ka pata lagana chahte hai to us ke source file ko check karna ek easy aur quicker approch ho sakta hai. Aapko bus us blog ke source file ko check karna hoga, theme.css file ko open karna hoga aur aapko us blog pe use kiye gaye WordPress Theme ka naam pata chal jayega. Kabhi kabhi aisa hota hai ke site owner ko credit information ko remove kar dete hai to aise me theme ka naam identify karna mushkil ho jata hai.
Agar upar diye gaye mothods se aapko pata nahi chal pata hai ke blog pe kaun sa Theme use kiya gya hai to aap us Blog ke owner ko Blog contact form ki help se mail kar sakte hai. Umeed hai ke blogger aapke is question ka answer denge kyu ki usually Blogger is tarah ke question ka jawab dete hai.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article (What Theme is Site Using ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?