What is Domain Name?
Domain name kisi bhi website ka naam hota hai. Ye website ka wo address hai jiske help se internet users aapki website ko internet pe access kar pate hai. Domain Name ka use internet pe computers ko dhundhne aur identify karne ke liye kiya jata hai.
Basically, Internet ek connected computers ka network hai jisme har Computer ko identify karne ke liye ek IP address provide kiya jata hai. Ye IP address kuch numbers ki series (103.211.19.166) hota hai jise dot se separate kiya jata hai. In numbers ko yaad rakhna human beings ke liye mushkil tha, yahi wajah hai ke domain name ko develop kiya gya.
Domain Name ke develop ho jane ke baad logon ko IP address ki jagah uske domain name ko yaad rakhna aasan ho gya. Log ab aasani se search baar me domain name type kar ke kisi bhi website ko search karte hai. Jaise agar kisi ko hamari website pe aana hoga to wo search engine me jakar direct billi4you.in likh sakta hai.
Domain Name letters ya numbers ka combination hota hai, aur ise domain name extension ( .com, .in, .net) ke sath use kiya ja sakta hai.
Domain Name ko Domain Name System (DNS) ke rules aur procedure ke according banaye jata hai. Ise use karne se pahle register kiya jata hai. Har ek domain name unique hota hai. Kisi bhi 2 website ka domain name ek jaisa nahi ho sakta hai. Agar koi www.billi4you.in type karta hai to wo hamare hi website pe aayega kisi dusre website pe nahi ja sakta hai.
Hame Domain ki Zaroorat kyu hai
Internet pe domain
Free Domain Names
Kuch
- Bahut
saare search engines free domains providers ( like Freenom.com) ke sub-domain ko acceptnahi karte hai. - Aapke visitors ko aapki website ko yaad rakhna mushkil ho jata hai, kyu ki unhe aapki website ke naam ke sath sath aapke host URL ko bhi yaad rakhna hota hai.
- Aap apne sub-domain ko kisi dusre web host pe transfer nahi kar payenge.