What is Beta Version: Aap ne logon ko Beta version ke release ke bare me bate karte huye suna hoga. Aaj se kuch salon pahle Beta version aaj ke jitna common nahi tha. Ajkal aap har jagah chahe wo operating system ho, video games ho, web apps, ya music players har jagah aapko Beta relase dikhne ko mil jayega. Lekin kya aapko pata hai ke kisi bhi project ke Beta version ka kya matlab hota hai. To aaj is post me hum aapko batane ja rahe hai ke kisi bhi product ke Beta version ka kya matlab hota hai.
What is Beta Version?
Beta version ka matlab hai ke App abhi bhi development phase me hai. Beta kisi bhi product ke development ke stage ko refer karta hai jise kuch user ka group test krta hai. App developer Beta version ko release karte hai taki public App ka test kar sake aur developer ko feedback de sake. Beta version kuch selected people ke liye publish hota hai jinhe App ko test karne ke liye allot kiya jata hai. Lekin kuch publisher apne product ke Beta version ko publicly bhi launch karte hai. Aise applications ko koi bhi download kar ke use kar sakta hai.
Jiase ke haal me hi aapne suna hoga ke WhatsApp ne apne iOS platform ke liye Beta version ko publicly launch kiya hai joke pahle nahi tha. To ab slot available hone pe koi bhi iOS user WhatsApp ka Beta version download kar sakta hai.
Beta version ek testing ka phase hai jisme product me kisi bhi tarah ke errors aur bugs ko User side se test kar ke report kiya jata hai. To agar koi software Beta version me release hota hai to iska matlab hai ke us software me kuch errors aur bugs ho sakte hai, jinhe company public release se pahle user side se test karna chahte hai.
Isliye Beta version ko jub user istemal karte hai to wo errors, bugs aur failure ke bare me report karte hai, Beta version is tarah se design hota hai ke ye App se automatic feedback collect karta hai aur company ko App ke failure ke bare me report karta hai, aur is tarah publisher company ko bugs aur errors ke bare me pata chalta hai. Aur company un Bugss aur errors ko correct kar ke official version release karti hai.
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.
2 comments
[…] Beta Version Kya Hota Hai? […]
[…] Beta Version Kya Hota Hai? […]
Comments are closed.