Hum sabhi jante hai ke Website banana ek costly kaam hai. Aur website banane se pahle hum sabhi ke mind me ye baat aati hai ke hame ek website ko host karne me kitna kharch par sakta hai. Isi vjah sehum apke liye ye ( Website Banane me kitna kharch hota hai ) informative article lekr aye hain.
Agar aap WordPress pe site bana rahe hai to iska cost Aapke budget aur goal pe depend karta hai. Is post me hum aapko batayenge ke ek website banane me kitna cost par sakta hai, aur iske sath hi hum aapko ye bhi batayenge ke aap apne wordpress website ke cost ko kaam kaise kar sakte hai.
WordPress Website Banane Ke Liye Aapko Kya Chahye ?
WordPress kisi ke liye bhi download aur use karne ke liye free hai aap ise WordPress.org page se download kar sakte hai. Ye ek open source software jo aapko kisi bhi tarah ki website pe ise Install karne ki freedom deta hai. WordPress site ke cost ko niche diye gaye categories me divide kiya gya hai.
- Domain Name
- WordPress hosting
- Design
- Plugins and Extensions (Apps)
Domain Name Cost: $12
Website ke liye Pahli chiz jo aapko kharidni paregi wo hai Domain Name. Domain Name kharidne ka matlab hai ke aap apne website ko address de rahe hai. Aap apne website ke Domain Name ko select karte waqt is baat ka dhyan rakhe ki aapka Domain Name Brandable ho ya phir atleast keyword rich ho. Aap .com, .org, or .net .in jaise domain name select kar sakte hai. Agar aap Bluehost se purchase karte hai to aapko ek free Domain milega. Iske alawa GoDaddy bhi ek cheap registrar me se ek hai jahan se aap cheap price pe domain purchase kar sakte hai.
Web-Hosting Cost: $56-$100
WordPress Blog start karne me hosting service purchase karna ek major investment hai. Isliye aapko apne hosting service ke sath kisi bhi tarah ka compromise nahi karna chahye. Aapko reliable web-hosting service provider se hi web hosting service leni chahye.
Yahan pe kuch WordPress hosting providers ke naam ek saal ke subscription ke price ke sath diye gaye hai aap inme se kisi se bhi hosting service purchase kar sakte hai.
WordPress Theme Cost: (Free to $86)
Speed, price, aur functionalities ke term me apni site ke liye sahi Theme select karna ek mushkil kaam hai. WordPress pe Bahut saare free Plugins available hai jinhe aap apne site ke liye use kar sakte hai. Par agar aap premium Theme ka use karna chahte hai to aap kar sakte hai. Agar aap Low-cost theme ki talash me hai to aap Genesis Theme or Elegant Themes ka use kar sakte hai.
WordPress Plugins: (Free to $47-$200)
WordPress ke major benefit me se ek benefit iski free Plugin ki list hai. Free Plugins ke sath hi bahut saare premium plugins bhi hai jo varying costs pe available hai.
Technically, new Blogger hone ki wajah se aapko apne Blog ko minimal investment ke sath shuru karna chahiye. Aapko kisi bhi premium service ki zaroorat nahi hogi.
WordPress Pe Overpaying Ko Avoid Kaise Kare ?
Jub bhi aap nayi website start kare to use chote se start kare aur phir apni WordPress site ko bara karte rahe. Kayi cases me aapko un sabhi premium features ki zaroorat nahi hoti hai. Aap free plugins aur template ka use kar ke ek budget website se shuruaat kar sakte hai. Ek baar jub aapki site pe visitors aana shuru ho jate hai to aap premium template, email marketing, paid backup plugin, website firewall jaise template ko add kar sakte hai.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( Website Banane me kitna kharch hota hai ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- LumaFusion PC Style Video Editing App For Android & iOS
- Professional Mobile video Editing | VN Video Editor App
- Canva – Graphic Designing App For Mobile
- 5 Steps – Successful Freelancer Guide
- Mobile Se Professional Video Editing Kasie Karen