WordPress me “Upload: Failed to Write File to Disk” Error bahut sare reasons ki wajah se ho sakta hai lekin iska most common reason folder permission issue hai. Aaj is article me hum aapko batayenge WordPress me “ Upload Failed to Write File to Disk ” Error Ko Fix Kaise Kare ?
Apke website pe jitne bhi file ya folders hote hai sabhi ka file permission hota hai. In permissions ke base pe web server aapke file aur folders ke permission ko control karta hai.
Agar aap apne file ko incorrectly set kar dete hai to aap apne server pe file ko write nahi kar sakte hai. Aisa karne se aapka web server us particular folder me kisi bhi file ko crate ya add nahi kar sakta hai.
Agar aap apne worpdress admin area se kisi bhi file ko add karna chahenge to aapko niche diye gaya error show hoga.
- WordPress failed to write to disk
- WordPress has failed to upload due to an error failed to write file to disk
- Unable to create directory wp-content/uploads/2016/03. Is its parent directory writable by the server?
WordPress me “ Upload Failed to Write File to Disk ” Error Ko Fix Kaise Kare ?
Upload Failed to Write to Disk Error ko fix karne ke liye sab se pahle aapko apne website se FTP client ya file manager ki help se connect karna hoga.
Connect ho jane ke baad aap wp-content folder directory me jaye aur File permission ko select kare.
File permission ke option pe click karne pe aapke samne ek pop up generate hoga jo aapko owner, group, and public group ka permission show karega.
Aapko numeric value field me 755 enter karna hoga. Uske baad aapko ‘Recurse into subdirectories’ ke option ko check kar ke ‘Apply to directories only’ option pe clcik karna hai. Uske baad changes ko save karne ke liye OK button pe click kare.
Ab aapka FTP client folder permission ko 755 me set kar dega aur wp-content ke sub-folder me is changes ko apply kar dega. Isme aapka upload folder bhi hoga jahan pe aapka image stored hoga.
Aapko is baat ka bhi dhyan rakhna hoga ke wp-content folder me aapke individual file ka permission bhi correct hona chhaye.
Ab aap index.php file pe click kar ke file permission pe click kare.
Ab file permission ko 644 me convert kar den.
Changes ko save karne ke liye aap OK button pe click kare.
Ab aap apne wordpress site pe ja kar file ko upload karne ki koshish kare. Agar aapko abhi bhi issue aa raha hai to aap apne hosting provider se baat kare aur unse kahe ke wo temporary file directory ko delet kar den. Agra temporary directory full ya poorly configured ho jata ahi to WordPress files ko directory save nahi kar pata hai.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( Upload Failed to Write File to Disk ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?