Aapke site par social media buttons display karna users ko diff social media networks par aapko follow karne ke liye encourages karta hai. Recently hamare ek users ne WordPress Sidebar me Social Media Icons Add karne ka asaan tarika puccha. Isliye ham apko bataenge ki WordPress Sidebar me Social Media Icons Add kaise Kare ?
WordPress Sidebar me Social Media Icons Add Kare :
Aap apne WordPress Sidebar me Social Media Icons Add karne ke liye apne WordPress site par Simple Social Icons plugin ko intall aur activate kare. Kisi bhi WordPress plugin ko kaise install karte hain iski detail me information lene ke liye aap hamari separate article WordPress Plugin Install Kaise Kare ko read kar sakte hain.
Plugin activate karne ke baad, Aap apne WordPress sidebar me simple social icons widget ko drag and drop karne ke liye, Apne WordPress dashboard ke menu bar me Appearance » Widgets par jaye. Next ab aap inn social icons ke size, colors, alignment aur bhaut sare other option ko configure kar sakte hain.
Simply widget me apne social media profiles ka URLs enter kare. Ye Facebook, Twitter, Google+, YouTube, Linkedin, Pinterest, Instagram aur kuch other popular social media websites ko support karta hai. Aap apne RSS feed aur email newsletter ke liye bhi icon add kar sakte hain.
URLs enter karne ke baad changes ko save kare aur ise apni website par preview kare. Hamara suggestion hai ki aap diff diff background aur combinations ko colors ke sath try kare aur dekhiye ki aapke site par sabse achha kiya dikhta hai.
Aap border radius ko 0 par set kar ke icon ke size ko increase kar ke inn social icons ko flat bana sakte hain. Aap Simple Social Icons plugin ke through icons ko reorder nahi kar sakte hain.
Ummid hai aapko ye article (WordPress Sidebar me Social Media Icons Add kaise Kare) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress me IP Address Block Kaise Kare
- 14 Best WordPress SEO Plugins and Tools – Jise Aapko Use Karna Chahiye
- WordPress Sticky Posts Kab aur Kaise Create Kare ?