WordPress social network users ko sign up karne, ek dusre ke sath connect hone aur messages post karne etc ke liye allow karta hai. Iss article me ham aapko dikhaenge ki aap apne WordPress Site Ko Social Network Me Convert Kaise Kare ?
Apna WordPress Powered Social Network strat kare :
“WordPress” free BuddyPress plugin ka use kar ke apna khud ka social network create karne ke liye easy to use platform hai. Ye bahut hi flexible aur kisi bhi tarah ke WordPress website ke sath beautifully integrates karta hai.
BuddyPress plugin ko use karne ke liye aapko ek self-hosted WordPress.org website ki zarurat hoti hai. Agar aapke pass abhi tak koi website nahi hai to hamare article WordPress Website Kaise Banye ko follow kar ke website create kar sakte hain.
BuddyPress Kiya hai ?
BuddyPress ek simple social network software hai, jo ki WordPress contributors ke zariye banaya gaya hai. Ye free WordPress plugin ke roop me available hai jise aap apne WordPress website par install kar sakte hain.
Ye aapke WordPress Site Ko Social Network Me Convert kar deta hai, jisse aap apna online community bana sakte hain. Yaha ek BuddyPress powered website ki kuch features di gayi hai :
- Users aapki website par register kar sakte hain
- Users extended user profiles create karne ke able honge.
- Activity streams users ko site-wide updates ko follow karne ke liye allow karta hai
- Aap user groups ke sath sub-communities create ke liye able honge
- Users as friends ek dusre ko add kar sakte hain
- Users ek dusre ko private messages send kar sakte hain
- Third-party plugins ka use kar ke BuddyPress functionality ko grow kiya ja sakta hai
- Kisi bhi standard compliant WordPress theme ke sath work kiya ja sakta hai
- Apne present WordPress site ke sath setup kiya ja sakta hai.
BuddyPress ke Through WordPress Social Network Setup kare :
Apne WordPress Site Ko Social Network Me Convert karne ke liye, Sabse pahle aap apne site par BuddyPress plugin ko install aur activate kare. Kisi bhi WordPress plugin ko kaise install karte hain iski detail me information lene ke liye aap hamari separate article WordPress Plugin Install Kaise Kare ko read kar sakte hain.
Plugin activate karne ke baad, Aap plugin setting ko configure karne ke liye apne WordPress dashboard ke menu bar me Settings » BuddyPress page ko visit kare.
BuddyPress settings page ko different sections me divide kiya gaya hai. Aap sabse pahle unn components page ko dekhenge jo apko show karta hai ki currently aapki site par BuddyPress components active hai.
Maximum websites ke liye default components work karta hai. Aap components ko activate or deactivate kar sakte hain, sipmly “components” ke pass wale box ko check and uncheck kar ke. Apne changes ko save karne ke liye “save settings” button par click karna nahi bhule.
Next ab aap “Pages” tab par click kare. Yaha aap unn pages ko choose kar sakte hain jinhe aap apni site par alag alag BuddyPress sections ke liye use kar sakte hain.
By default, Plugin automatically apke liye pages create karta hai. Agar aap chahe to aap unhe change kar sakte hain aur ek alag page ka use kar sakte hain.
Agar aapko registration aur activation pages ko select karne ke liye option nahi dikh raha hai to aap apne WordPress site par user registration ko enable kare.
Ab aap “Options” tab par switch kare.
Yaha aapko diff diff settings milenge jinhe aap BuddyPress me turn on/off kar sakte hain. Default settings maximum website ke liye work karti hai lekin aap apne need ke according unhe review and change kar sakte hain.
Apni Website Par BuddyPress Pages Display kare :
Agar aap BuddyPress setup karne ke baad apne website ko visit karte hain, aap apne website par kuch bhi new added nahi dekhenge. Ise change karne ke liye, aap apne WordPress main menu me BuddyPress pages ko add kare.
Apne WordPress site ke dashboard menu bar me Appearance » Menus page par jaye. Then left column se “BuddyPress pages” choose kare aur “add to menu” button par click kare.
Apne changes ko save karne ke liye “save menu” button par click kare. Ab apne links ko action me dekhne ke liye apne website ko visit kar sakte hain.
Link par click karne se aap ek BuddyPress page par pahunch jaenge. For example, activity link aapko dikhaega ki aapke BuddyPress social network me kiya ho rha hai. Aap iss page se status update bhi post kar sakte hain.
BuddyPress sabhi standard obedient WordPress themes ke sath work karta hai. Agar aapke theme me BuddyPress specific templates nahi hai to ye apne khud ke template ke sath bhi ata hai.
Agar aap pahle se hi Akismet use kar rahe hain to BuddyPress iska use spam ko catch karne ke liye karega. BuddyPress isse deal karne ke liye built-in tools ke sath ata hai. Apne WordPress admin area me “Activity” page par jaye aur different actions ke sath aap apne recent activity ko dekhe.
Aap action ke zariye items ko crop kar sakte hain, items delete kar sakte hain ya unhe spam ke roop me mark kar sakte hain.
Isi tarah se aap user accounts ko manage karne ke liye, apne WordPress dashboard menu bar me “users” page par ja kar users ko delete, edit ya fir suspicious accounts ko as spam mark kar sakte hain.
Email Notifications Manage Kare :
Email notifications ek aisa tarika hai jisse aap apne BuddyPress site users ko unki social stream me new activity ke bare me alert kar sakte hain. User ke participation ko encourage karne ke liye aap unn email messages ko customize kar sakte hain.
BuddyPress aapko apne WordPress social network ke zariye send kiye gaye email notifications ko modify karne ke liye allow karta hai. Ye aapko apne WordPress site ke branding and tone ko match karne ke liye message ko change karne me help karta hai.
Default email notifications ke list ko dekhne ke liye aap “email” page par jaye, Aapko email ka title aur wo situation dikhai dega jab email kisi users ko send kiya jata hai.
New email notification create karne ke liye aap top me “Add new” button par click kar sakte hain. Aap ise change karne ke liye email message ke niche “edit” button par click kar sakte hain.
Lastly, ab aap email colors, header, and footer areas ko modify karne ke liye email customizer ka bhi use kar sakte hain.
Troubleshooting BuddyPress :
Aapko BuddyPress ke sath jitne bhi issues honge unme se bahut sare issue WordPress issues ke similar hote hain. Isliye aap apne issues ko solve karne ek liye hamare common WordPress errors page par solution dhund sakte hain.
Ummid hai aapko ye article (WordPress Site Ko Social Network Me Convert Kaise Kare) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress me IP Address Block Kaise Kare
- 14 Best WordPress SEO Plugins and Tools – Jise Aapko Use Karna Chahiye
- WordPress Sticky Posts Kab aur Kaise Create Kare ?