Agar aapka password kho gya hai ya phir aap use bhool gaye hai to aap use aasani se apne WordPress database me PhpMyAdmin me ja kar ise reset kar sakte hai. Is article me hum aapko batayenge How To Reset WordPress Password Using PhpMyAdmin ?
WordPress me aap login screen pe ja kar easily apne password ko manage kar sakte hai. Aap ‘Lost your password’ link pe click kar ke apne password ko easily reset kar sakte hai.
Aap lost your password link pe click kar ke password reset page pe ja sakte hai. Aap apne username or email address enter kar ke apne password ko reset kar sakte hai. Uske baad WordPress user account se associated email address pe wordpress password reset link send karega, jiski help se aap apne password ko reset kar sakte hai.
Agar aap apne email address ko access nahi kar pate hai to aap apne password ko reset nahi kar sakte hai. Aise condition me aapko apne password ko direct database me ja kar reset karna hoga. Database me password ko access karne ka sabse easy way hai ke aap PhpMyAdmin ke use se kare.
How To Reset WordPress Password Using PhpMyAdmin ?
abse pahle aapko apne cPanel dashboard me login karna hoga. Uske baad aapko database section me pMyAdmin icon pe click karna hoga.
PhpMyAdmin pe click karne pe phpMyAdmin app launch ho jayega jo niche diye gaye screenshot jaisa dikhega. Yahan pe aapko wordpress database ko left side me select karna hoga.
WordPress database ke option ko select karne ke baad aapke samne niche screenshot me diye gaye table jaisa table open ho jayega. Jisme aapko WP_user wala table select karna hai, aur Browse ke option pe click karna hai.
Browser pe click karne ke baad aapke samne ek page open hoga jisme aapke jitne bhi user honge wo dikhenge. Apko us user ke corresponding Edit option ko select kar lena hai jiske password ko aap reset karna chahte hai. E4dit pe clcik karne ke baad aapke samne us user ke database ki poori page open ho jayegi.
Is page pe aap us user ke diye gaye kisi bhi information ko change kar sakte hai. Information ko enter kare aur Go ke option pe click kare.
Lekin password change karne ke liye aapko itna aasan procedure follow nahi karna hoga. WordPress database me password user-pass field me MD5 hash se encrypted hota hai.
Aapko password ko change karne ke liye sabse pahle jo password dalna hai use MD5 me convert karna hoga aur uske baad user_pass field me aapko convert kiya gya password enter karna hoga.
Sab se pahle user_pass field me jo password pahle se ho use delete kare aur jo password aapko dalna hai use enter kare.
Aap apne password ko user_pass field me enter karne ke baad drop-down menu se MD5 ko select kare aur Go Button pe clcik kare. Aapka password change ho jayega.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( How To Reset WordPress Password Using PhpMyAdmin ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?