Kya aapne kabhi aapne image ko WordPress me upload karne ke baad upne image file ke naam ko change karna chaha hai. Image file name aapke image SEO me bahut helpful hota hai joki aapke site pe traffic ko badhane me help karta hai. Agar aap bhi karna chahte hai rename images and media files ko to aap sahi jagah pe aaye hai.
Aapko bata den ke aap apne WordPress image file ke name ko aasani ke sath change kar sakte hai. WordPress image alt tag aur caption ko change karne ke liye allow karta hai. Admin area me aapko image name change karne ke liye built-in option nahi hai.
Aapko is article me hum batayenge ke aap easily kaise WordPress me apne images aur media files ko rename kare. Yahan pe hum aapko ye bhi batayenge ke aap media file ko apne computer pe rename karne ke baad kaise replace kare.
Images and Media File Names Ko WordPress Me Rename Kyu Kare?
Agar aap apne site pe original Image ya dusre media file ko upload karte hai to ye, hamare site pe zyada se zyada traffic ko lane me help karta hai.
Halaki aapko search engines aur users dono ke liye apne media file ko describe karne ki zaroorat hogi. Joki apne image SEO optimization ka important part hai.
Apni image file ko ek meaningful name dal kar hum apne image file ko search engine aur user ke liye ise find karna assan bnana sakte hai. Jaise agar hum apne image file ka naam DSC08889.jpg ki jagah SEO-Tips.jpg rakhte hai to hamare image ko search engine aur user ke liye find karna aasan ho sakta hai.
Yahan pe ek prolem ye hai ke hum me se bahut se log images ko direct apne phones ya camera se upload karte hai. Kuch user image ko dusre source se download karte hai aur image ko rename karna bhool jate hai.
Agar aap in images ko direct WordPress me upload karte hai to phir in images aur media file ko rename karne ke liye koi bhi default option nahi hai.
To aaeye dekhte hai how to easily rename images and media files in WordPress.
Rename Images and Media Files in WordPress :
Is method ki help se aap automatically image file name ko WordPress me change nahi kar sakenge. Halaki aap manually WordPress admin area me image filename ko change kar sakte hai.
Step 1. Sabse pahle aapko Phoenix Media Rename plugin ko install aur activate karna hoga. Zyada detail ke liye aap hamare guide WordPress Plugin Install kaise kare ? ko follow kare.
Step 2. Plugin ke activate hone ke baad aap Media » Library me jaye. Agar aapka media lirary grid view me hai to aap use list view me kar le.
Aisa karne se aapko media file ke more details dikh jayenge jisme file name hi hoga.
Step 3. Ab aapko jis image or media file ko rename karna hai uske niche “Edit” ke option pe click krna hoga.
Ye aapke image ko WordPress media edit screen me open hoga. Yahan se aap Alt tag, caption jaise detail ko edit kar sakte hai.
Step 4. Niche scroll karne pe aapko filename field dikh jayega.
Yahan se aap file name ko change kar sakte hai. File name dalte waqt is baat ka dhyan rakhe ke aap image name keyword focussed aur meaningful rakhe jo aapke image ko descrie kar sake.
Step 5. Apne changes ko save karne ke liye aap ‘Update’ button pe click kare.
Itna step follow karne ke baad aap successfully apne image file name ko WordPress admin area me change kar lenge. Plugin file name ko bhi update kar dega agar aap ne image ko apne page ya post me use kiya hoga.
Replace Image and Media Files in WordPress :
Agar upar bataya gya meyhod kaam nahi karta hai to aap is method ko try kar sakte hai. Is method ka use karne ke liye aapko file ko apne computer me download karna hoga aur use rename karna hoga.
Uske baad hi aap apne file ko renamed version file se plugin ki help se replace kar sakte hai.
Step 1. Sa se pahle aapko Enable Media Replace plugin ko install aur activate karna hoga. More details ke liye aap WordPress Plugin Install kaise kare ? guide ko follow kar sakte hai.
Step 2. Ab aap Media » Library page pe jaye. Agar aapka media lirary grid view me hai to aap use list view me kar le.
Step 3. Ab yahan pe aapko media file replace karne ke liye ek new link dikh jayega.
Ye link aapko replace media page pe le jayega.
Step 5. Ab aapko apne computer se us file ko choose karne ki zaroorat hai jise aap old file se replace karna chahte hai. Is aat ka dhyan rakhe ke aap image name ko pahle se hi change kar ke rakhe.
Step 6. A aapko niche scroll kar ke More option pe click karna hai. Replacement options me aapko ye select karna hai ke aap sirf file ko replace karna chahte hai ya sahi link ko bhi replace karna chahte hai. Hum aapko second option selct karne ke liye recommend karenge agar aapne pahle se hi apne file ko WordPress page ya post me add kiya hai to.
Aap ya to apne old date ko rakh sakte hai ya phir new date set kar sakte hai.
Step 7. Finally, ab aap ‘Upload’ button pe click kar ke apne new file ko old renamed file se replace kar sakte hai.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( Rename Images and Media Files ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Latest Post :
- WordPress Posts Me Author Info Box Kaise Add Kare
- Filezilla FTP Client Setup Kaise Karen ?
- Images Aur Media Files Ko WordPress Me Rename Kaise Kare.