GSC (Google Search Console) ek free platform hai jiski help se hum ye jaan sakte hai ke Google hamari site kis tarah se dekjhta hai. Iske sath hi GSC ki help se hum apne site ke Google presence ko optimize bhi kar sakte hai. Is Google search console guide me hum aapko Google search console ko Setup karne ke bare me batayenge.
Site performance ko track karne ke liye bahut sare site hai jinme Google Search Consol sab se best hai. Ye site owners aur Webmaster ko apne site ke overall performance ke changes ko monitor karne me help karta hai.
Is guide me hum aapko GSC ke bare me sabhi bate batayenge jise aapko ise setup karne me janne ki zaroorat hai. Agar aap SEO me naye hai to hum aapko yaha pe batayenge ke ke aap GSC ko start kaise kare. Aur agar aap ek SEO pro hai to hum aapko advanced tips, tactics and strategies ke bare me batayenge jiski help se aap higher rank gain kar sakte hai.
Agar aap New search console se zyada se zyada fayda uthana chahte hai to hame umeed hai ke aapko ye article Google Search Console guide pasand aayega.
Is guide me hum aapko Google search Console ke sabhi important features ko setup karne ke liye batayenge, to chalye dekhte hai ke hum Google Search Console ko setup kaise kare.
Step #1: Google Search Console Me Site ko Add Kaise Kare :
Google Search Console guide ka sab se pahla step jo hai jise hum aapko yaha pe batane wale hai wo hai ke hum apni site ko GSC me add kaise kare.
Google Search Console me apni site ko add karne ke liye aapke pass 7 ways hai jiski help se aap apni ite ko verify kar sakte hai. Yaha pe 3 different ways bataye gaye hai jiski help se hum apni site ko GSC me add kar sakte hai.
- HTML File: Aap apne unique HTML file ko upload kar ke apni site ko GSC me add kar sakte hai.
- CNAME or TXT Record: Yahan pe aap apne Domain settings me special CNAME or TXT record ko apne domain settings me add kar sakte hai.
- HTML Code Snippet: Simply aap aapne code ke snippets (an HTML tag) ko homepage code ke <head> section me add kar sakte hai.
Is baat ko sure kar le ke aap apne site ke HTTPS aur non-HTTP versions ko verify kar len.
Apni site ko GSC me add karne ke liye aap hamare step by step guide Google Search Console Me Apni Site Ko Add Kaise Kare ko follow kar sakte hai.
Is step ko complete karne ke baad aap second step pe proceed kar sakte hai.
Step #2: “Preferred Domain”
Is step me hum aapko Preferred domain ko set karna ke are me batayenge.
Hame apne site ke domain ko set karne ke liye “WWW” or non-www version ko set karna hota hai. Ye Google ko batata hai ke aapke site ka kaun sa version Google use karega.
Lekin ab is step ko aapko perform karne ki zaroorat nahi hai kyu ki Google ne khud ye announce kiya hai ke usne is feature ko hata diya hai. A Google various signals ke ase pe khud hi decide kar lega ke wo kis version ko select kare.
Step #3: Apni Target Country Set Kare :
Google ye figure out karta hai ke aapki site kis country ko target kar rahi hai. Aisa karne ke liye Google aapke kuch data ko dekhta hai jaise:-
- Aapke ccTLD ( for example: .in india sites )
- Aapke website pe list kiya gaya address.
- Aapka server location.
- Wo country jaha se aapko zyada backlinks milte hai.
- Aapke site ka content jisme aapki site likhi gayi (jaise english, hindi).
To chalye ab hum apne site ke targated location ko set karte hai.
Step 1. Search Traffic me “International Targeting” link Pe Click Kare
Step 2. Click “Country” tab
Step 3. Box me “Target users” Ko Check Kre :
Step 4. Drop Down Box Se Apne Targeted Country Ko Set Kare :
Ab aapne apne site ke targated location ko set kar liya hai.
Step #4: Google Analytics Ko Search Console Se Link Kare :
2013 me Google ne apne sabhi searches ko HTTPS pe switch kar diya tha.
Ye security ke liye ek bahut accha step tha lekin website owner ke liye ye accha nahi tha.
Achanak hi website ke priceless keyword data Google Analytics se ghya ho gya.
Aur jo unhe dikh raha tha wo kuch aisa tha
Aap kuch simple keyword ki help se apne keyword data ko wapas pa sakte hai. Google Analytics ko Google Search Console account se link kar ke.
To aaeye dekhte hai ke kaise hum in accounts ko link kare.
Google Analytics ko open kare. Left menu ke bottom me “Admin” button pe click kare.
“Property Settings” link pe click kare.
Niche scroll kare aur “Adjust Search Console” button pe click kare
“Add” pe click kare
Aapne apne Analytics aur Search Console ko link kar liya hai.
To aaeye dekhte hai ke aap ko a kya datya milta hai.
Aapko landing pages ke impressions aur unke click kiye gaye data
Aap country ke option pe jakar bhi Impression, click, CTR, aur position data ko dekh sakte hai.
Most important keyword data jo aapko yahan se milega wo hai
Step #5: Security Issues Ko Check Kare :
Finally ab aap apne site ke security issues ko check kare joki aapke site ke SEO ko harm pahuncha sakta hai.
Iske liye aap “Security Issues” pe click kare.
Most of the cases me jaisa ke aap yaha pe dekh rahe hai koi hi prolem detect nahi hota hai. Lekin aapke liye ise check kar lena ek accha option hai.
Step #6: Add Sitemap :
Agar aap ek small sitre ko run kar rahe hai to aapke liye ye zaroori nahi hai ke aap sitemap ko Google me submit kare. Lekin agar aap ek bare site ko run kar rahe hai jaise ke ecommerce site jispe bahaut sare pages ho to sitemap ek key rol play karta hai.
Isliye aap apne site ke according sitemap ko Google me submit kare.
To chalye dekhte hai ke hum sitemap submit kaise kaise kare.
Sabse pahle aapko sitemap create karna hoga. Agar aap WordPress site run karte hai to aap Yoast plugin ki help se use create kar sakte hai.
Agar aapne abtak apna sitemap create nahi kiya hai to aap admin panel me Yoast pe jaye aur XML sitemaps setting ko “General/Features” section me “On” kar den.
“See the XML Sitemap” link pe click kare wo aapko aapke sitemap pe le jayega.
Agar aapne pahle se sitemap create kiya hoga to aap direct yoursite.com/sitemap.xml pe jakar apne sitemap ko access kar sakte hai. Aur agar aapne nahi kiya hai to aap Yoast Plugin ki help se create kar sakte hai.
Ab aap apne sitemap ko Google me GSC ki help se submit kar sakte hai. New Google search console ki help ki se aap easily apne sitemap ko Google me add kar sakte hai.
NEW Google Search Console Me Sitemap Kaise Submit Kare :
Apne site ke sitemap ko submit karne ke liye aap sab se pahle apne GSC me login kare.
Sitemap ke option pe click kare aur apne sitemap ko paste kare aur Submit pe click kare.
Aapke sitemap ko submit karne ke baad ek successful message display ho jayega.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( Google Search Console Guide ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Latest Post :
- WordPress Posts Me Author Info Box Kaise Add Kare
- Filezilla FTP Client Setup Kaise Karen ?
- Images Aur Media Files Ko WordPress Me Rename Kaise Kare.