Recover WhatsApp chat: Kabhi kabhi humse ghalti se ya phir kisi wajah se hamare chat delete ho jate hai. Aur hame afsos hota hai ke hamare chats delete ho gaye. Agar aapke sath bhi aisa hi kuch hua hai to aaj hum aapke liye lekar aaye hai kuch tricks jiski madad se aap apne whatsapp chat recover kar sakte hai. To aaeye dekhte hai ke aap apne WhatsApp chat ko kaise recover kare.
Apne deleted WhatsApp messages ko retrieve karne ke liye aapko apni setting me “Chat Backup” ko enable karna hoga.
- Apne chat ko backup karne ke liye App Settings me jaye phir Chats, aur phir Chat Backup me jaye.
- Yahan pe aapko apne WhatsApp ko Google Drive/ iCloud account se connect karne ka option aayega.
- Apne WhatsApp ko Google drive ya icloud se connect kare ab aapka chat sync hone lagega.
- Settings me apko apne chat aur video ko kab backup karna chahte hai aur kis network pe karna chahte hai iska option bhi mil jayega. Aap Wi-fi ya phir mobile data ko select kar sakte hai.
Ab apne chat ko backup kare. Chat ko backup karne ke baad aap ka data save hai. Ab aap use jub chahe recover kar sakte hai. Ab agar aapke device me koi dikkat aa jaye ya phir aap apna phone change kare to aap aapne data ko backup kar sakte hai. Apne data ko backup karne ke liye aap Chat Backup section me jaye aur restore button ko tap kare.
Recovering Older Deleted Chats
- Apne device pe File Explorer open kare
- WhatsApp me ja kar Databases me jaye
- msgstore.db.crytp12 ko msgstore-latest.db.crytp12 se rename kar den
- msgstore-YYYY-MM-DD.1.db.crypt12 ko msgstore.db.crytp12 me rename kare
- Agar Google Drive backups ko aapne enable kar rakha hai to Google Drive open kare, Backups ke option pe tap kare, aur phir delete the WhatsApp backup file ko select kare
- WhatsApp ko uninstall kar ke reinstall kare
- Aur restore ke option pe click kar ke chat ko backup kare