WordPress me password protected page banane se aap Visitors se tab tak content ko hide kar sakte hain jabtak ke unke paas password na ho. Simply agr apne apne WordPress site me Password Protect Page aur Post create krte hain, to sirf wahi log use dekh pyenge jinke paas password hoga. Ye sirf member ya certain audience ke liye useful hoga. To aaiye dekhte hain ke kis tarh se WordPress Me Password Protect Page aur Post Create Karenge ?
Step : 1 : Us page ya post ko Edit kijye jise aap password protect rakhna chahte hain.
Step : 2 : Fir apko Document section me Visibility ka option dikh raha hoga uspe clicl kijye.
Step : 3 : Jab aap visibility section me ayenge to apko Password Protected ka option dikh raha hoga apko uspe tick krna hai.
Step : 4 : Fir apko jo bhi pasword rkhna hai use enter kijye.
Step : 5 : that’s It, ab aap apne page ya post ko Publish kijye aur apne chnges ko check kijye.
Aaiye ab dekhte hain ki Publish hone ke baad apka post kaisa dikhega.
To publish hone ke baad apka post aisa dikhega, Tittle ke age Protected show hoga aur jab ko ispe click krega to post open hone ke liye password mangega.
Apke sabhi page aur post jo password se secure hain, Ab proper form se protected me marked kiye jayenge taki aap easily use dekh saken, aur jaan saken ki apke kis post aur page pe password laga huaa hai.
Agr aap future me kabhi aap password protected post ya page se password remove krna chahen to kar sakten, Uske liye aapko document > Visibility > Public option pe click kar ke apne post ya [age ko update kar denga.
Ummid hai aapko ye article ( Password Protect Page aur Post ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Read Also :
- WordPress Sidebar me Social Media Icons Add kaise Kare ?
- WordPress Site Ko Social Network Me Convert Kaise Kare ?
- Complete Social Media Cheat Sheet – For WordPress
- Social Media ke through Email Subscribers Increase kaise kare ?