Dosto jaisa ke hum jante hai ke aadhar pan link last date 31 dec 2019 hai. Agar aapne abtak apne pan card ko aadhar se link nahi kiya hai to ab aapke paas dec tak ka time hai. Is post me hum aapko pan aadhar link status kaise check kare ye batayenge.
Income Tax department ne pan aadhar link ko zarrori bana diya hai. Agar aap apna pan aadhar link nahi karate hai to aapke Pan ko invalid man liya jayega.
Isi saal finance ministry ne aadhar pan link ko zaroori bata kar kaha hai ke jin logon ke pass pan hai unhe aadhar se link karana zaroori hai.
Agar aapne abtak apne pan ko aadhar se link nahi kiya hai to aap use link kara len kyuki agar aap pan ko aadhaar se link nahi karayenge toaapka pan invalid ho jayega.
Kaise Kare Pan Aadhar Link
Online pan aadhar link karne ke liye aapko Income tax ki E-filing website pe jana hoga. Site page pe aapko left side me Link Aadhar ka option dikhega.
Aap is link ko follow kar ke apna aadhaar pan se link kar sakte hai.
Pan ko aadhar se link karne ke liye aap Pan Card ko Aadhar Number se Link kaise kare article ko follow kar sakte hai.
Agar aadhar aur pan pe aapka naam alag hai to aisa ho sakta hai ke aapka aadhar pan link na ho. Pan aadhar link karane ke liye aapko ya to pan detail ya phir aadhar detail ko theek karana ho. Aapke dono document pe ek naam hone pe hi aapka pan aadhar link hone ki samhavna hai.
Bus aapko is aat ka dhyan rakhna hai ke aapke pan aur aadhar dono pe di gayi jankari alag na ho.
Pan Aadhar Link Status Kaise Check Kare
Income Tax department aapke pan aadhar ko link karne ke baad check karne ki facility provide karta hai.
Agar aap apne pan aadhar link status ko le kar confirm nahi hai to aap apne ststus ko check kar sakte hai.
Pan Aadhar Link Status ko check karne ke liye aap niche diye gaye step ko follow kar sakte hai.
- Sa se pahle Income Tax ki E-filing website pe jaye.
- Wesite ke Home page pe aapko left side me Aadhar link ka option dikhega uspe click kare.
- Ab aapke samne ek page open hoga jispe detail fill karke aap apna pan aadhar link kar sakte hai. pan aadhar link status ko check karne ke liye aapko top me Click Here ka option dekhega uspe click kare.
- Ab aapko apna Pan number aur Aadhar number enter karna hoga.
- Pan aur Aadhar enter karne ke baad View Link Aadhar Status pe click kare.
- Ab aapke samne message display ho jayega ke aapka pan Aadhar link hua hai ya nahi.